Parveen Shakir Poetry

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya


Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

ऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब की
अहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दिया

मिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया

अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िर
बानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दिया

मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया

मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तो
शहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया

चेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दिया

मुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया

--------------------------------------

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko NiDhaal Kar Diya

Ai Meri Gul-Zamiin Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Ahl-E-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya

Milte Hue Dilon Ke Biich Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar BichhaḌte Vaqt Aur Savaal Kar Diya

Ab Ke Havaa Ke Saath Hai Daaman-E-Yaar Muntazir
Baanu-E-Shab Ke Haath Mein Rakhna Sambhaal Kar Diya

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Ham Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya

Mere Labon Pe Mohr Thi Par Mere Shisha-Ru Ne To
Shahr Ke Shahr Ko Mera Vaaqif-E-Haal Kar Diya

Chehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Vaqt Ne Kis Shabih Ko Ḳhvaab O Ḳhayaal Kar Diya

Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 823