Jaun Elia Poetry

Shaam tak meri bekali hai sharab


Shaam tak meri bekali hai sharab

Shaam tak meri bekali hai sharab
Shaam ko meri sarkhushi hai sharab.

Jahil-e-waiz ka is ko raas aaye
Sahibo meri aagahi hai sharab.

Rang-ras hai meri ragon mein ravaan
Bakhuda meri zindagi hai sharab.

Naaz hai apni dilbari pe mujhe
Mera dil meri dilbari hai sharab.

Hai ghanimat jo hosh mein nahi main
Shaikh tujh ko bacha rahi hai sharab.

Hiss jo hoti to jaane kya karta
Mufitiyon meri behisi hai sharab.
-----------------------------------
शाम तक मेरी बेकली है शराब
शाम को मेरी सरख़ुशी है शराब

जहल-ए-वाइ'ज़ का इस को रास आए
साहिबो मेरी आगही है शराब

रंग-रस है मेरी रगों में रवाँ
ब-ख़ुदा मेरी ज़िंदगी है शराब

नाज़ है अपनी दिलबरी पे मुझे
मेरा दिल मेरी दिलबरी है शराब

है ग़नीमत जो होश में नहीं मैं
शैख़ तुझ को बचा रही है शराब

हिस जो होती तो जाने क्या करता
मुफ़्तियों मेरी बे-हिसी है शराब


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 402