Faiz Ahmed Faiz Poetry

shaam ke pech-o-kham sitaaron se


shaam ke pech-o-kham sitaaron se

shaam ke pech-o-kham sitaaron se
zeena zeena utar rahi hai raat
yun saba paas se guzarti hai
jaise kah di kisi ne pyaar ki baat
sehan-e-zindan ke be-watan ashjaar
sar-nigoon mahav hain banaane mein
daaman-e-aasmaan pe naqsh-o-nigaar
shaana-e-baam par damkata hai
meherbaan chaandni ka dast-e-jameel
khaak mein ghul gai hai aab-e-nujoom
noor mein ghul gaya hai arsh ka neel
sabz goshoon mein neel-goon saaye
lahlahaate hain jis tarah dil mein
mauj-e-dard-e-firaq-e-yaar aaye
dil se paiham khayal kehta hai
itni sheerin hai zindagi is pal
zulm ka zahar gholne waale
kaamraan ho sakenge aaj na kal
jalwa-gaah-e-visaal ki shamaein
vo bujha bhi chuke agar to kya
chaand ko gul karein to ham jaanen 
---------------------------------
शाम के पेच-ओ-ख़म सितारों से
ज़ीना ज़ीना उतर रही है रात
यूँ सबा पास से गुज़रती है
जैसे कह दी किसी ने प्यार की बात
सेहन-ए-ज़िंदाँ के बे-वतन अश्जार
सर-निगूँ महव हैं बनाने में
दामन-ए-आसमाँ पे नक़्श-ओ-निगार
शाना-ए-बाम पर दमकता है
मेहरबाँ चाँदनी का दस्त-ए-जमील
ख़ाक में घुल गई है आब-ए-नुजूम
नूर में घुल गया है अर्श का नील
सब्ज़ गोशों में नील-गूँ साए
लहलहाते हैं जिस तरह दिल में
मौज-ए-दर्द-ए-फ़िराक़-ए-यार आए
दिल से पैहम ख़याल कहता है
इतनी शीरीं है ज़िंदगी इस पल
ज़ुल्म का ज़हर घोलने वाले
कामराँ हो सकेंगे आज न कल
जल्वा-गाह-ए-विसाल की शमएँ
वो बुझा भी चुके अगर तो क्या
चाँद को गुल करें तो हम जानें

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 42