Faiz Ahmed Faiz Poetry

nisaar main tiri galiyon ke ai watan ki jahaan


nisaar main tiri galiyon ke ai watan ki jahaan

nisaar main tiri galiyon ke ai watan ki jahaan
chali hai rasm ki koi na sar utha ke chale
jo koi chaahne waala tawaaf ko nikle
nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad
ki sang-o-khisht muqayyad hain aur sag azaad

bahut hai zulm ke dast-e-bahaana-joo ke liye
jo chand ahl-e-junoon tere naam-leva hain
bane hain ahl-e-hawas muddai bhi munsif bhi
kise wakeel karein kis se munsifi chahein
magar guzaarne waalon ke din guzarte hain
tire firaq mein yun subh o shaam karte hain

bujha jo rauzan-e-zindaan to dil ye samjha hai
ki teri maang sitaaron se bhar gai hogi
chamak uthe hain silaasil to ham ne jaana hai
ki ab sehar tire rukh par bikhar gai hogi
garz tasavvur-e-shaam-o-sehr mein jeete hain
girift-e-saaya-e-deewaar-o-dar mein jeete hain

yoonhi hamesha uljhti rahi hai zulm se khalk
na un ki rasm nayi hai na apni reet nayi
yoonhi hamesha khilaaye hain ham ne aag mein phool
na un ki haar nayi hai na apni jeet nayi
isee sabab se falak ka gila nahin karte
tire firaq mein ham dil bura nahin karte

gar aaj tujh se juda hain to kal bahm honge
ye raat bhar ki judaai to koi baat nahin
gar aaj auj pe hai taala-e-raqeeb to kya
ye chaar din ki khudaai to koi baat nahin
jo tujh se ahad-e-wafaa ustuvaar rakhte hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hain 
-------------------------------------------
निसार मैं तिरी गलियों के ऐ वतन कि जहाँ
चली है रस्म कि कोई न सर उठा के चले
जो कोई चाहने वाला तवाफ़ को निकले
नज़र चुरा के चले जिस्म ओ जाँ बचा के चले
है अहल-ए-दिल के लिए अब ये नज़्म-ए-बस्त-ओ-कुशाद
कि संग-ओ-ख़िश्त मुक़य्यद हैं और सग आज़ाद

बहुत है ज़ुल्म के दस्त-ए-बहाना-जू के लिए
जो चंद अहल-ए-जुनूँ तेरे नाम-लेवा हैं
बने हैं अहल-ए-हवस मुद्दई भी मुंसिफ़ भी
किसे वकील करें किस से मुंसिफ़ी चाहें
मगर गुज़ारने वालों के दिन गुज़रते हैं
तिरे फ़िराक़ में यूँ सुब्ह ओ शाम करते हैं

बुझा जो रौज़न-ए-ज़िंदाँ तो दिल ये समझा है
कि तेरी माँग सितारों से भर गई होगी
चमक उठे हैं सलासिल तो हम ने जाना है
कि अब सहर तिरे रुख़ पर बिखर गई होगी
ग़रज़ तसव्वुर-ए-शाम-ओ-सहर में जीते हैं
गिरफ़्त-ए-साया-ए-दीवार-ओ-दर में जीते हैं

यूँही हमेशा उलझती रही है ज़ुल्म से ख़ल्क़
न उन की रस्म नई है न अपनी रीत नई
यूँही हमेशा खिलाए हैं हम ने आग में फूल
न उन की हार नई है न अपनी जीत नई
इसी सबब से फ़लक का गिला नहीं करते
तिरे फ़िराक़ में हम दिल बुरा नहीं करते

गर आज तुझ से जुदा हैं तो कल बहम होंगे
ये रात भर की जुदाई तो कोई बात नहीं
गर आज औज पे है ताला-ए-रक़ीब तो क्या
ये चार दिन की ख़ुदाई तो कोई बात नहीं
जो तुझ से अहद-ए-वफ़ा उस्तुवार रखते हैं
इलाज-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार रखते हैं

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 47