Faiz Ahmed Faiz Poetry

bahaar aayi to jaise yak-baar


bahaar aayi to jaise yak-baar

bahaar aayi to jaise yak-baar
laut aaye hain phir adam se
vo khwaab saare shabaab saare
jo tere honton pe mar-mite the
jo mit ke har baar phir jiye the
nikhar gaye hain gulaab saare
jo teri yaadon se mushkboo hain
jo tere ushshaq ka lahu hain
ubal pade hain azaab saare
malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhi
khumaar-e-aaghosh-e-mah-veshaan bhi
ghubaar-e-khaatir ke baab saare
tire hamaare
sawaal saare jawaab saare
bahaar aayi to khul gaye hain
naye sire se hisaab saare 
---------------------------------------
बहार आई तो जैसे यक-बार
लौट आए हैं फिर अदम से
वो ख़्वाब सारे शबाब सारे
जो तेरे होंटों पे मर-मिटे थे
जो मिट के हर बार फिर जिए थे
निखर गए हैं गुलाब सारे
जो तेरी यादों से मुश्कबू हैं
जो तेरे उश्शाक़ का लहू हैं
उबल पड़े हैं अज़ाब सारे
मलाल-ए-अहवाल-ए-दोस्ताँ भी
ख़ुमार-ए-आग़ोश-ए-मह-वशां भी
ग़ुबार-ए-ख़ातिर के बाब सारे
तिरे हमारे
सवाल सारे जवाब सारे
बहार आई तो खुल गए हैं
नए सिरे से हिसाब सारे

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 46