Faiz Ahmed Faiz Poetry

aaj shab dil ke qareen koi nahin hai


aaj shab dil ke qareen koi nahin hai

aaj shab dil ke qareen koi nahin hai
aankh se door tilismaat ke dar vaa hain kai
khwaab-dar-khwaab mahallaat ke dar vaa hain kai
aur makeen koi nahin hai
aaj shab dil ke qareen koi nahin hai
koi naghma koi khushboo koi kaafir-soorat
koi ummeed koi aas musaafir-soorat
koi gam koi kasak koi shak koi yaqeen
koi nahin hai
aaj shab dil ke qareen koi nahin hai
tum agar ho to mere paas ho ya door ho tum
har ghadi saaya-gar-e-khaatir-e-ranjoor ho tum
aur nahin ho to kahi koi nahin koi nahin hai
aaj shab dil ke qareen koi nahin hai 
-------------------------------------------
आज शब दिल के क़रीं कोई नहीं है
आँख से दूर तिलिस्मात के दर वा हैं कई
ख़्वाब-दर-ख़्वाब महल्लात के दर वा हैं कई
और मकीं कोई नहीं है,
आज शब दिल के क़रीं कोई नहीं है
कोई नग़मा, कोई ख़ुशबू, कोई काफ़िर-सूरत
कोई उम्मीद, कोई आस मुसाफ़िर-सूरत
कोई गम, कोई कसक, कोई शक, कोई यक़ीं
कोई नहीं है
आज शब दिल के क़रीं कोई नहीं है
तुम अगर हो, तो मिरे पास हो या दूर हो तुम
हर घड़ी साया-गर-ए-ख़ातिर-ए-रंजूर हो तुम
और नहीं हो तो कहीं... कोई नहीं, कोई नहीं है
आज शब दिल के क़रीं कोई नहीं है


Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 37