Waseem Barelavi Poetry

kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi


kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi

kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi
tujh se hi fasla rakhna tujhe apnaana bhi

kaisi aadaab-e-numaish ne lagaaiin shartein
phool hona hi nahin phool nazar aana bhi

dil ki bigdi hui aadat se ye ummeed na thi
bhool jaayega ye ik din tira yaad aana bhi

jaane kab shehar ke rishton ka badal jaaye mizaaj
itna aasaan to nahin laut ke ghar aana bhi

aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
tera hona bhi nahin aur tira kahlaana bhi

khud ko pehchaan ke dekhe to zara ye dariya
bhool jaayega samundar ki taraf jaana bhi

jaanne waalon ki is bheed se kya hoga waseem
is mein ye dekhiye koi mujhe pahchaana bhi 
-----------------------------------------
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी
तुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भी

कैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तें
फूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भी

दिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थी
भूल जाएगा ये इक दिन तिरा याद आना भी

जाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाज
इतना आसाँ तो नहीं लौट के घर आना भी

ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तिरा कहलाना भी

ख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरिया
भूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भी

जानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा 'वसीम'
इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 157