Jaun Elia Poetry

Na to dil ka na jaan ka daftar hai


Na to dil ka na jaan ka daftar hai

Na to dil ka na jaan ka daftar hai
Zindagi ik ziyan ka daftar hai

Padh raha hoon main kaaghazaat-e-wujud
Aur nahi aur haan ka daftar hai

Koi soche to sooz-e-karb-e-jaan
Saara daftar gumaan ka daftar hai

Hum mein se koi to kare israr
Ke zameen aasman ka daftar hai

Hijr taa-til-e-jism-o-jaan hai miyaan
Wasl jism aur jaan ka daftar hai

Woh jo daftar hai aasmani-tar
Woh miyaan ji yahaan ka daftar hai

Hai jo bood-o-nabood ka daftar
Aakhirash yeh kahaan ka daftar hai

Jo haqeeqat hai dam-b-dam ki yaad
Woh to ik daastaan ka daftar hai

Ho raha hai guzishtagaa ka hisaab
Aur aaindagaan ka daftar hai
--------------------------------
न तो दिल का न जाँ का दफ़्तर है
ज़िंदगी इक ज़ियाँ का दफ़्तर है

पढ़ रहा हूँ मैं काग़ज़ात-ए-वजूद
और नहीं और हाँ का दफ़्तर है

कोई सोचे तो सोज़-ए-कर्ब-ए-जाँ
सारा दफ़्तर गुमाँ का दफ़्तर है

हम में से कोई तो करे इसरार
कि ज़मीं आसमाँ का दफ़्तर है

हिज्र ता'तील-ए-जिस्म-ओ-जाँ है मियाँ
वस्ल जिस्म और जाँ का दफ़्तर है

वो जो दफ़्तर है आसमानी-तर
वो मियाँ जी यहाँ का दफ़्तर है

है जो बूद-ओ-नबूद का दफ़्तर
आख़िरश ये कहाँ का दफ़्तर है

जो हक़ीक़त है दम-ब-दम की याद
वो तो इक दास्ताँ का दफ़्तर है

हो रहा है गुज़िश्तगाँ का हिसाब
और आइंदगाँ का दफ़्तर है


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 33