Jaun Elia Poetry

Dil ka dayar-e-khwaab mein door talak guzar raha


Dil ka dayar-e-khwaab mein door talak guzar raha

Dil ka dayar-e-khwaab mein door talak guzar raha
Paanv nahi the darmiyaan aaj bada safar raha

Ho na saka humein kabhi apna khayal tak naseeb
Naqsh kisi khayal ka lau-e-khayal par raha

Naqsh-garon se chahiye naqsh o nigaar ka hisaab
Rang ki baat mat karo rang bahut bikhar raha

Jaane gumaan ki woh gali aisi jagah hai kaun si
Dekh rahe ho tum ki main phir wahin ja ke mar raha

Dil mere dil mujhe bhi tum apne khawaas mein rakho
Yaaran tumhare baab mein main hi na motabar raha

Shahar-e-firaq-e-yaar se aayi hai ik khabar mujhe
Koocha-e-yaad-e-yaar se koi nahi ubhar raha
-------------------------------------------------
दिल का दयार-ए-ख़्वाब में दूर तलक गुज़र रहा
पाँव नहीं थे दरमियाँ आज बड़ा सफ़र रहा

हो न सका हमें कभी अपना ख़याल तक नसीब
नक़्श किसी ख़याल का लौह-ए-ख़याल पर रहा

नक़्श-गरों से चाहिए नक़्श ओ निगार का हिसाब
रंग की बात मत करो रंग बहुत बिखर रहा

जाने गुमाँ की वो गली ऐसी जगह है कौन सी
देख रहे हो तुम कि मैं फिर वहीं जा के मर रहा

दिल मिरे दिल मुझे भी तुम अपने ख़वास में रखो
याराँ तुम्हारे बाब में मैं ही न मो'तबर रहा

शहर-ए-फ़िराक़-ए-यार से आई है इक ख़बर मुझे
कूचा-ए-याद-ए-यार से कोई नहीं उभर रहा


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 34