Faiz Ahmed Faiz Poetry

ye galiyon ke aawaara be-kaar kutte


ye galiyon ke aawaara be-kaar kutte

ye galiyon ke aawaara be-kaar kutte
ki baksha gaya jin ko zauq-e-gadaai
zamaane ki fatakaar sarmaaya in ka
jahaan bhar ki dhutkaar in ki kamaai

na aaraam shab ko na raahat savere
ghalaazat mein ghar naaliyon mein basere
jo bigdein to ik doosre ko lada do
zara ek roti ka tukda dikha do
ye har ek ki thokren khaane waale
ye faaqon se ukta ke mar jaane waale
mazloom makhluq gar sar uthaaye
to insaan sab sar-kashi bhool jaaye
ye chahein to duniya ko apna bana len
ye aaqaon ki haddiyaan tak chaba len
koi in ko ehsaas-e-zillat dila de
koi in ki soi hui dum hila de
-------------------------------
ये गलियों के आवारा बे-कार कुत्ते
कि बख़्शा गया जिन को ज़ौक़-ए-गदाई
ज़माने की फटकार सरमाया इन का
जहाँ भर की धुत्कार इन की कमाई

न आराम शब को न राहत सवेरे
ग़लाज़त में घर नालियों में बसेरे
जो बिगड़ें तो इक दूसरे को लड़ा दो
ज़रा एक रोटी का टुकड़ा दिखा दो
ये हर एक की ठोकरें खाने वाले
ये फ़ाक़ों से उकता के मर जाने वाले
मज़लूम मख़्लूक़ गर सर उठाए
तो इंसान सब सर-कशी भूल जाए
ये चाहें तो दुनिया को अपना बना लें
ये आक़ाओं की हड्डियाँ तक चबा लें
कोई इन को एहसास-ए-ज़िल्लत दिला दे
कोई इन की सोई हुई दुम हिला दे

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 31