Faiz Ahmed Faiz Poetry

ye daagh daagh ujaala ye shab-gazeeda sehar


ye daagh daagh ujaala ye shab-gazeeda sehar

ye daagh daagh ujaala ye shab-gazeeda sehar
vo intizaar tha jis ka ye vo sehar to nahin
ye vo sehar to nahin jis ki aarzoo le kar
chale the yaar ki mil jaayegi kahi na kahi
falak ke dasht mein taaron ki aakhiri manzil
kahi to hoga shab-e-sust-mauj ka saahil
kahi to ja ke rukega safeena-e-gham dil
jawaan lahu ki pur-asraar shaah-raahon se
chale jo yaar to daaman pe kitne haath pade
dayaar-e-husn ki be-sabr khwaab-gaahon se
pukaarti raheen baahen badan bulaate rahe
bahut aziz thi lekin rukh-e-sehar ki lagan
bahut qareen tha haseenaan-e-noor ka daaman
subuk subuk thi tamannaa dabii dabii thi thakan

suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-noor
suna hai ho bhi chuka hai visaal-e-manjil-o-gaam
badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastoor
nashaat-e-wasl halaal o azaab-e-hijr haraam
jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
kisi pe chaara-e-hijraan ka kuchh asar hi nahin
kahaan se aayi nigaar-e-saba kidhar ko gai
abhi charaagh-e-sar-e-rah ko kuchh khabar hi nahin
abhi giraani-e-shab mein kami nahin aayi
najaat-e-deeda-o-dil ki ghadi nahin aayi
chale-chalo ki vo manzil abhi nahin aayi
-------------------------------------------
ये दाग़ दाग़ उजाला ये शब-गज़ीदा सहर
वो इंतिज़ार था जिस का ये वो सहर तो नहीं
ये वो सहर तो नहीं जिस की आरज़ू ले कर
चले थे यार कि मिल जाएगी कहीं न कहीं
फ़लक के दश्त में तारों की आख़िरी मंज़िल
कहीं तो होगा शब-ए-सुस्त-मौज का साहिल
कहीं तो जा के रुकेगा सफ़ीना-ए-ग़म दिल
जवाँ लहू की पुर-असरार शाह-राहों से
चले जो यार तो दामन पे कितने हाथ पड़े
दयार-ए-हुस्न की बे-सब्र ख़्वाब-गाहों से
पुकारती रहीं बाहें बदन बुलाते रहे
बहुत अज़ीज़ थी लेकिन रुख़-ए-सहर की लगन
बहुत क़रीं था हसीनान-ए-नूर का दामन
सुबुक सुबुक थी तमन्ना दबी दबी थी थकन

सुना है हो भी चुका है फ़िराक़-ए-ज़ुल्मत-ओ-नूर
सुना है हो भी चुका है विसाल-ए-मंज़िल-ओ-गाम
बदल चुका है बहुत अहल-ए-दर्द का दस्तूर
नशात-ए-वस्ल हलाल ओ अज़ाब-ए-हिज्र हराम
जिगर की आग नज़र की उमंग दिल की जलन
किसी पे चारा-ए-हिज्राँ का कुछ असर ही नहीं
कहाँ से आई निगार-ए-सबा किधर को गई
अभी चराग़-ए-सर-ए-रह को कुछ ख़बर ही नहीं
अभी गिरानी-ए-शब में कमी नहीं आई
नजात-ए-दीदा-ओ-दिल की घड़ी नहीं आई
चले-चलो कि वो मंज़िल अभी नहीं आई

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 71