Faiz Ahmed Faiz Poetry

is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai


is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai

is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai
mahtaab na suraj na andhera na savera
aankhon ke dareechon pe kisi husn ki chilman
aur dil ki panahon mein kisi dard ka dera
mumkin hai koi vaham tha mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chaap ka ik aakhiri fera
shaakhon mein khayaalon ke ghane ped ki shaayad
ab aa ke karega na koi khwaab basera
ik bair na ik mehr na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraaya koi mera
maana ki ye sunsaan ghadi sakht kaddi hai
lekin mere dil ye to faqat ik hi ghadi hai
himmat karo jeene ko to ik umr padi hai 
-------------------------------------------
इस वक़्त तो यूँ लगता है अब कुछ भी नहीं है
महताब न सूरज, न अँधेरा न सवेरा
आँखों के दरीचों पे किसी हुस्न की चिलमन
और दिल की पनाहों में किसी दर्द का डेरा
मुमकिन है कोई वहम था, मुमकिन है सुना हो
गलियों में किसी चाप का इक आख़िरी फेरा
शाख़ों में ख़यालों के घने पेड़ की शायद
अब आ के करेगा न कोई ख़्वाब बसेरा
इक बैर न इक मेहर न इक रब्त न रिश्ता
तेरा कोई अपना, न पराया कोई मेरा
माना कि ये सुनसान घड़ी सख़्त कड़ी है
लेकिन मिरे दिल ये तो फ़क़त इक ही घड़ी है
हिम्मत करो जीने को तो इक उम्र पड़ी है

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 44