Faiz Ahmed Faiz Poetry

ham ki thehre ajnabi itni mudaaraaton ke ba'ad


ham ki thehre ajnabi itni mudaaraaton ke ba'ad

ham ki thehre ajnabi itni mudaaraaton ke ba'ad
phir banenge aashna kitni mulaqaaton ke ba'ad
kab nazar mein aayegi be-daagh sabze ki bahaar
khoon ke dhabbe dhulenge kitni barsaaton ke ba'ad
the bahut bedard lamhe khatm-e-dard-e-ishq ke
theen bahut be-mehr subhen meherbaan raaton ke ba'ad
dil to chaaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di
kuchh gile shikwe bhi kar lete munaajaaton ke ba'ad
un se jo kehne gaye the faiz jaan sadqe kiye
an-kahi hi rah gai vo baat sab baaton ke ba'ad 
-------------------------------------------------
हम कि ठहरे अजनबी इतनी मुदारातों के बा'द
फिर बनेंगे आश्ना कितनी मुलाक़ातों के बा'द
कब नज़र में आएगी बे-दाग़ सब्ज़े की बहार
ख़ून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बा'द
थे बहुत बेदर्द लम्हे ख़त्म-ए-दर्द-ए-इश्क़ के
थीं बहुत बे-मेहर सुब्हें मेहरबाँ रातों के बा'द
दिल तो चाहा पर शिकस्त-ए-दिल ने मोहलत ही न दी
कुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बा'द
उन से जो कहने गए थे 'फ़ैज़' जाँ सदक़े किए
अन-कही ही रह गई वो बात सब बातों के बा'द

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 30