Faiz Ahmed Faiz Poetry

chalo phir se muskuraayein


chalo phir se muskuraayein

chalo phir se muskuraayein
chalo phir se dil jalaaen
jo guzar gai hain raatein
unhen phir jaga ke laayein
jo bisar gai hain baatein
unhen yaad mein bulaaein
chalo phir se dil lagaayein
chalo phir se muskuraayein
kisi shah-nasheen pe jhalaki
vo dhanak kisi qaba ki
kisi rag mein kasmasaai
vo kasak kisi ada ki
koi harf-e-be-muravvat
kisi kunj-e-lab se foota
vo chanak ke sheesha-e-dil
tah-e-baam phir se toota
ye milan ki na milan ki
ye lagan ki aur jalan ki
jo sahi hain waaradaatein
jo guzar gai hain raatein
jo bisar gai hain baatein
koi un ki dhun banaayein
koi un ka geet gaayein
chalo phir se muskuraayein
chalo phir se dil jalaaen
--------------------------------
चलो फिर से मुस्कुराएँ
चलो फिर से दिल जलाएँ
जो गुज़र गई हैं रातें
उन्हें फिर जगा के लाएँ
जो बिसर गई हैं बातें
उन्हें याद में बुलाएँ
चलो फिर से दिल लगाएँ
चलो फिर से मुस्कुराएँ
किसी शह-नशीं पे झलकी
वो धनक किसी क़बा की
किसी रग में कसमसाई
वो कसक किसी अदा की
कोई हर्फ़-ए-बे-मुरव्वत
किसी कुंज-ए-लब से फूटा
वो छनक के शीशा-ए-दिल
तह-ए-बाम फिर से टूटा
ये मिलन की ना मिलन की
ये लगन की और जलन की
जो सही हैं वारदातें
जो गुज़र गई हैं रातें
जो बिसर गई हैं बातें
कोई उन की धुन बनाएँ
कोई उन का गीत गाएँ
चलो फिर से मुस्कुराएँ
चलो फिर से दिल जलाएँ

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 54