Faiz Ahmed Faiz Poetry

aur kuchh der mein jab phir mere tanhaa dil ko


aur kuchh der mein jab phir mere tanhaa dil ko

aur kuchh der mein jab phir mere tanhaa dil ko
fikr aa legi ki tanhaai ka kya chaara kare
dard aayega dabey paanv liye surkh charaagh
vo jo ik dard dhadakta hai kahi dil se pare

shola-e-dard jo pahluu mein lapak uthhega
dil ki deewaar pe har naqsh damak uthhega
halka-e-zulf kahi gosha-e-rukhsaar kahi
hijr ka dasht kahi gulshan-e-deedaar kahi
lutf ki baat kahi pyaar ka iqaar kahi

dil se phir hogi meri baat ki ai dil ai dil
ye jo mehboob bana hai tiri tanhaai ka
ye to mehmaan hai ghadi-bhar ka chala jaayega
us se kab teri museebat ka mudaava hoga

mushtail ho ke abhi uthhenge wahshi saaye
ye chala jaayega rah jaayenge baaki saaye
raat-bhar jin se tira khoon-kharaaba hoga
jang thehri hai koi khel nahin hai ai dil
dushman-e-jaan hain sabhi saare ke saare qaateel
ye kaddi raat bhi ye saaye bhi tanhaai bhi
dard aur jang mein kuchh mel nahin hai ai dil
laao sulgaao koi josh-e-ghazab ka angaar
taish ki aatish-e-jarraar kahaan hai laao
vo dahakta hua gulzaar kahaan hai laao
jis mein garmi bhi hai harkat bhi tawaanai bhi

ho na ho apne qabeele ka bhi koi lashkar
muntazir hoga andhere ki faseelon ke udhar
un ko sholon ke rajjaz apna pata to denge
khair ham tak vo na pahunchen bhi sada to denge
door kitni hai abhi subh bata to denge 
-----------------------------------------------
और कुछ देर में जब फिर मिरे तन्हा दिल को
फ़िक्र आ लेगी कि तन्हाई का क्या चारा करे
दर्द आएगा दबे पाँव लिए सुर्ख़ चराग़
वो जो इक दर्द धड़कता है कहीं दिल से परे

शोला-ए-दर्द जो पहलू में लपक उट्ठेगा
दिल की दीवार पे हर नक़्श दमक उट्ठेगा
हल्क़ा-ए-ज़ुल्फ़ कहीं गोशा-ए-रुख़्सार कहीं
हिज्र का दश्त कहीं गुलशन-ए-दीदार कहीं
लुत्फ़ की बात कहीं प्यार का इक़रार कहीं

दिल से फिर होगी मिरी बात कि ऐ दिल ऐ दिल
ये जो महबूब बना है तिरी तन्हाई का
ये तो मेहमाँ है घड़ी-भर का चला जाएगा
उस से कब तेरी मुसीबत का मुदावा होगा

मुश्तइल हो के अभी उट्ठेंगे वहशी साए
ये चला जाएगा रह जाएँगे बाक़ी साए
रात-भर जिन से तिरा ख़ून-ख़राबा होगा
जंग ठहरी है कोई खेल नहीं है ऐ दिल
दुश्मन-ए-जाँ हैं सभी सारे के सारे क़ातिल
ये कड़ी रात भी ये साए भी तन्हाई भी
दर्द और जंग में कुछ मेल नहीं है ऐ दिल
लाओ सुल्गाओ कोई जोश-ए-ग़ज़ब का अँगार
तैश की आतिश-ए-जर्रार कहाँ है लाओ
वो दहकता हुआ गुलज़ार कहाँ है लाओ
जिस में गर्मी भी है हरकत भी तवानाई भी

हो न हो अपने क़बीले का भी कोई लश्कर
मुंतज़िर होगा अंधेरे की फ़सीलों के उधर
उन को शोलों के रजज़ अपना पता तो देंगे
ख़ैर हम तक वो न पहुँचे भी सदा तो देंगे
दूर कितनी है अभी सुब्ह बता तो देंगे

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 33