Faiz Ahmed Faiz Poetry

ab kyun us din ka zikr karo


ab kyun us din ka zikr karo

ab kyun us din ka zikr karo
jab dil tukde ho jaayega
aur saare gham mit jaayenge
jo kuchh paaya kho jaayega
jo mil na saka vo paayenge
ye din to wahi pehla din hai
jo pehla din tha chaahat ka
ham jis ki tamannaa karte rahe
aur jis se har dam darte rahe
ye din to kai baar aaya
sau baar base aur ujad gaye
sau baar lute aur bhar paaya
ab kyun us din ka zikr karo
jab dil tukde ho jaayega
aur saare gham mit jaayenge
tum khauf-o-khatr se dar-guzaro
jo hona hai so hona hai
gar hansna hai to hansna hai
gar rona hai to rona hai
tum apni karne kar guzaro
jo hoga dekha jaayega
-----------------------------
अब क्यूँ उस दिन का ज़िक्र करो
जब दिल टुकड़े हो जाएगा
और सारे ग़म मिट जाएँगे
जो कुछ पाया खो जाएगा
जो मिल न सका वो पाएँगे
ये दिन तो वही पहला दिन है
जो पहला दिन था चाहत का
हम जिस की तमन्ना करते रहे
और जिस से हर दम डरते रहे
ये दिन तो कई बार आया
सौ बार बसे और उजड़ गए
सौ बार लुटे और भर पाया
अब क्यूँ उस दिन का ज़िक्र करो
जब दिल टुकड़े हो जाएगा
और सारे ग़म मिट जाएँगे
तुम ख़ौफ़-ओ-ख़तर से दर-गुज़रो
जो होना है सो होना है
गर हँसना है तो हँसना है
गर रोना है तो रोना है
तुम अपनी करनी कर गुज़रो
जो होगा देखा जाएगा

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 35