Faiz Ahmed Faiz Poetry

aaj ki raat saaz-e-dard na chhed


aaj ki raat saaz-e-dard na chhed

aaj ki raat saaz-e-dard na chhed
dukh se bharpoor din tamaam hue
aur kal ki khabar kise maaloom
dosh-o-farda ki mit chuki hain hudoos
ho na ho ab sehar kise maaloom
zindagi hech lekin aaj ki raat
ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat
aaj ki raat saaz-e-dard na chhed
ab na dohraa fasaana-ha-e-alam
apni qismat pe sogwaar na ho
fikr-e-fardaa utaar de dil se
umr-e-rafta pe ashk-baar na ho
ahad-e-gham ki hikaayaten mat pooch
ho chuki sab shikaayaten mat pooch
aaj ki raat saaz-e-dard na chhed 
----------------------------------------
आज की रात साज़-ए-दर्द न छेड़
दुख से भरपूर दिन तमाम हुए
और कल की ख़बर किसे मालूम
दोश-ओ-फ़र्दा की मिट चुकी हैं हुदूद
हो न हो अब सहर किसे मालूम
ज़िंदगी हेच! लेकिन आज की रात
एज़दिय्यत है मुमकिन आज की रात
आज की रात साज़-ए-दर्द न छेड़
अब न दोहरा फ़साना-हा-ए-अलम
अपनी क़िस्मत पे सोगवार न हो
फ़िक्र-ए-फ़र्दा उतार दे दिल से
उम्र-ए-रफ़्ता पे अश्क-बार न हो
अहद-ए-ग़म की हिकायतें मत पूछ
हो चुकीं सब शिकायतें मत पूछ
आज की रात साज़-ए-दर्द न छेड़

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 34