Rahat Indori Poetry

shajar hain ab samar-aasaar mere


shajar hain ab samar-aasaar mere

shajar hain ab samar-aasaar mere
chale aate hain daavedaar mere

muhaajir hain na ab ansaar mere
mukhalif hain bahut is baar mere

yahan ik boond ka muhtaaj hoon main
samundar hain samundar paar mere

abhi murdon mein roohen phoonk daalen
agar chahein to ye beemaar mere

hawaaein odh kar soya tha dushman
gaye bekar saare vaar mere

main aa kar dushmanon mein bas gaya hoon
yahan hamdard hain do-chaar mere

hasi mein taal dena tha mujhe bhi
khata kyun ho gaye sarkaar mere

tasavvur mein na jaane kaun aaya
mahak utthe dar-o-deewar mere

tumhaara naam duniya jaanti hai
bahut rusva hain ab ashaar mere

bhanwar mein ruk gai hai naav meri
kinaare rah gaye is paar mere

main khud apni hifazat kar raha hoon
abhi soye hain pahre-daar mere 
-----------------------------------
शजर हैं अब समर-आसार मेरे
चले आते हैं दावेदार मेरे

मुहाजिर हैं न अब अंसार मेरे
मुख़ालिफ़ हैं बहुत इस बार मेरे

यहाँ इक बूँद का मुहताज हूँ मैं
समुंदर हैं समुंदर पार मेरे

अभी मुर्दों में रूहें फूँक डालें
अगर चाहें तो ये बीमार मेरे

हवाएँ ओढ़ कर सोया था दुश्मन
गए बेकार सारे वार मेरे

मैं आ कर दुश्मनों में बस गया हूँ
यहाँ हमदर्द हैं दो-चार मेरे

हँसी में टाल देना था मुझे भी
ख़ता क्यूँ हो गए सरकार मेरे

तसव्वुर में न जाने कौन आया
महक उट्ठे दर-ओ-दीवार मेरे

तुम्हारा नाम दुनिया जानती है
बहुत रुस्वा हैं अब अशआर मेरे

भँवर में रुक गई है नाव मेरी
किनारे रह गए इस पार मेरे

मैं ख़ुद अपनी हिफ़ाज़त कर रहा हूँ
अभी सोए हैं पहरे-दार मेरे

Poet - Rahat Indori
Location: Indore, Madhya Pradesh
Views: 302