Rahat Indori Poetry

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya


mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya
ek paagal ne bahut logon ko paagal kar diya

apni palkon par saja kar mere aansu aap ne
raaste ki dhool ko aankhon ka kaajal kar diya

main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida
us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya

ye hawaaein kab nigaahen fer len kis ko khabar
shohraton ka takht jab toota to paidal kar diya

devataaon aur khudaaon ki lagaaee aag ne
dekhte hi dekhte basti ko jungle kar diya

zakham ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqoosh
ham ne aainon ko tahzeebon ka maqtal kar diya

shehar mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai
jis ne achhe-khaase ik sha'ir ko paagal kar diya 
-------------------------------------------
मेरे अश्कों ने कई आँखों में जल-थल कर दिया
एक पागल ने बहुत लोगों को पागल कर दिया

अपनी पलकों पर सजा कर मेरे आँसू आप ने
रास्ते की धूल को आँखों का काजल कर दिया

मैं ने दिल दे कर उसे की थी वफ़ा की इब्तिदा
उस ने धोका दे के ये क़िस्सा मुकम्मल कर दिया

ये हवाएँ कब निगाहें फेर लें किस को ख़बर
शोहरतों का तख़्त जब टूटा तो पैदल कर दिया

देवताओं और ख़ुदाओं की लगाई आग ने
देखते ही देखते बस्ती को जंगल कर दिया

ज़ख़्म की सूरत नज़र आते हैं चेहरों के नुक़ूश
हम ने आईनों को तहज़ीबों का मक़्तल कर दिया

शहर में चर्चा है आख़िर ऐसी लड़की कौन है
जिस ने अच्छे-ख़ासे इक शाइ'र को पागल कर दिया

Poet - Rahat Indori
Location: Indore, Madhya Pradesh
Views: 216