Rahat Indori Poetry

kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne


kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne

kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne
teri har baat pe aameen kaha hai main ne

teri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahin
apni paa-posh ko qaaleen kaha hai main ne

maslahat kahiye use ya ki siyaasat kahiye
cheel kawwon ko bhi shaheen kaha hai main ne

zaa'iqe baarha aankhon mein maza dete hain
baaz chehron ko bhi namkeen kaha hai main ne

tu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki hai
tere ezaaz ko tauheen kaha hai main ne
------------------------------------------
काली रातों को भी रंगीन कहा है मैं ने
तेरी हर बात पे आमीन कहा है मैं ने

तेरी दस्तार पे तन्क़ीद की हिम्मत तो नहीं
अपनी पा-पोश को क़ालीन कहा है मैं ने

मस्लहत कहिए उसे या कि सियासत कहिए
चील कव्वों को भी शाहीन कहा है मैं ने

ज़ाइक़े बारहा आँखों में मज़ा देते हैं
बाज़ चेहरों को भी नमकीन कहा है मैं ने

तू ने फ़न की नहीं शजरे की हिमायत की है
तेरे एज़ाज़ को तौहीन कहा है मैं ने

Poet - Rahat Indori
Location: Indore, Madhya Pradesh
Views: 338