Tehzeeb Hafi Poetry

Tere saath guzre dino ki


Tere saath guzre dino ki

नज़्म - बेबसी

तेरे साथ गुज़रे दिनों की
कोई एक धुँदली सी तस्वीर
जब भी कभी सामने आएगी
तो हमें एक दुआ थामने आएगी,
बुढ़ापे की गहराइयों में उतरते हुए
तेरी बे-लौस बाँहों के घेरे नहीं भूल पाएँगे हम
हमको तेरे तवस्सुत से हँसते हुए जो मिले थे
वो चेहरे नहीं भूल पाएँगे हम
तेरे पहलू में लेटे हुओं का अजब क़र्ब है
जो रात भर अपनी वीरान आँखों से तुझे तकते थे
और तेरे शादाब शानों पे सिर रख के
मरने की ख़्वाहिश में जीते रहे

पर तेरे लम्स का कोई इशारा मयस्सर नहीं था
मगर इस जहाँ का कोई एक हिस्सा
उन्हें तेरे बिस्तर से बेहतर नहीं था
पर मोहब्बत को इस सब से कोई इलाका नहीं था
एक दुख तो हम बहरहाल हम अपने सीनों में ले के मरेंगे
कि हमने मोहब्बत के दावे किए
तेरे माथे पर सिंदूर टाँका नहीं

इससे क्या फ़र्क पड़ता है दूर हैं तुझसे या पास हैं
हमको कोई आदमी तो नहीं, हम तो एहसास हैं
जो रहे तो हमेशा रहेंगे
और गए तो मुड़ कर वापिस नहीं आएँगे
-----------------------------
Nazm - Bebasi 

Tere saath guzre dino ki  
Koi ek dhundhli si tasveer,  
Jab bhi kabhi saamne aayegi,  
To humein ek dua thaamne aayegi.  

Budhape ki gehraiyon mein utarte hue,  
Teri be-laus baahon ke ghere nahi bhool payenge hum.  
Humko tere tawassut se hanste hue jo mile the,  
Woh chehre nahi bhool payenge hum.  

Tere pehlu mein lete huon ka ajab qarib hai,  
Jo raat bhar apni veeran aankhon se tujhe takte the,  
Aur tere shaadab shaano pe sir rakh ke,  
Marne ki khwahish mein jeete rahe.  

Par tere lams ka koi ishaara mayassar nahi tha,  
Magar is jahaan ka koi ek hissa,  
Unhe tere bistar se behtar nahi tha.  
Par mohabbat ko is sab se koi ilaaka nahi tha.  

Ek dukh to hum bahar-haal apne seenon mein leke marenge,  
Ki humne mohabbat ke daave kiye,  
Tere maathay par sindoor taanka nahi.  

Isse kya farq padta hai door hain tujhse ya paas hain,  
Hum koi aadmi to nahi, hum to ehsaas hain,  
Jo rahe to hamesha rahenge,  
Aur gaye to mud kar wapas nahi aayenge.  

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 195