Tehzeeb Hafi Poetry

mausamon ke taghayyur ko bhaanpa nahin chhatriyaan khol deen


mausamon ke taghayyur ko bhaanpa nahin chhatriyaan khol deen

mausamon ke taghayyur ko bhaanpa nahin chhatriyaan khol deen
zakham bharne se pehle kisi ne meri pattiyaan khol deen

ham machheron se poocho samundar nahin hai ye ifreet hai
tum ne kya soch kar sahilon se bandhi kashtiyaan khol deen

us ne va'don ke parbat se latke huoon ko sahaara diya
us ki awaaz par koh-paimaaon ne rassiyaan khol deen

dasht-e-ghurbat mein main aur mera yaar-e-shab-zaad baaham mile
yaar ke paas jo kuchh bhi tha yaar ne gathriyaan khol deen

kuchh baras to tiri yaad ki rail dil se guzarti rahi
aur phir main ne thak haar ke ek din patriyaan khol deen

us ne seharaaon ki sair karte hue ik shajar ke tale
apni aankhon se aink utaari ki do hiraniyaan khol deen

aaj ham kar chuke ahad-e-tark-e-sukhan par raqam dastkhat
aaj ham ne naye sha'iron ke liye bhartiyaan khol deen
--------------------------------------------------
मौसमों के तग़य्युर को भाँपा नहीं छतरियाँ खोल दीं
ज़ख़्म भरने से पहले किसी ने मिरी पट्टियाँ खोल दीं

हम मछेरों से पूछो समुंदर नहीं है ये इफ़रीत है
तुम ने क्या सोच कर साहिलों से बँधी कश्तियाँ खोल दीं

उस ने वा'दों के पर्बत से लटके हुओं को सहारा दिया
उस की आवाज़ पर कोह-पैमाओं ने रस्सियाँ खोल दीं

दश्त-ए-ग़ुर्बत में मैं और मिरा यार-ए-शब-ज़ाद बाहम मिले
यार के पास जो कुछ भी था यार ने गठरियाँ खोल दीं

कुछ बरस तो तिरी याद की रेल दिल से गुज़रती रही
और फिर मैं ने थक हार के एक दिन पटरियाँ खोल दीं

उस ने सहराओं की सैर करते हुए इक शजर के तले
अपनी आँखों से ऐनक उतारी कि दो हिरनियाँ खोल दीं

आज हम कर चुके अहद-ए-तर्क-ए-सुख़न पर रक़म दस्तख़त
आज हम ने नए शाइ'रों के लिए भर्तियाँ खोल दीं

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 173