Jaun Elia Poetry

Tum Haqeeqat Nahin Ho Hasrat Ho


Tum Haqeeqat Nahin Ho Hasrat Ho

तुम हक़ीक़त नहीं हो हसरत हो
जो मिले ख़्वाब में वो दौलत हो

तुम हो ख़ुशबू के ख़्वाब की ख़ुशबू
और इतने ही बेमुरव्वत हो

तुम हो पहलू में पर क़रार नहीं
यानी ऐसा है जैसे फुरक़त हो

है मेरी आरज़ू के मेरे सिवा
तुम्हें सब शायरों से वहशत हो

किस तरह छोड़ दूँ तुम्हें जानाँ
तुम मेरी ज़िन्दगी की आदत हो

किसलिए देखते हो आईना
तुम तो ख़ुद से भी ख़ूबसूरत हो

दास्ताँ ख़त्म होने वाली है
तुम मेरी आख़िरी मुहब्बत हो

--------------------------------

Tum Haqeeqat Nahin Ho Hasrat Ho
Jo Mile Khwaab Mein woh Daulat Ho

Main Tumhaare Hi Dam Se Zinda Hoon
Mar Hi Jaaun Jo Tum Se Fursat Ho

Tum Ho Khushbu Ke Khwaab Ki Khushbu
Aur Utni Hi, Be-Murawwat Ho

Tum Ho Pahlu Mein Par Qaraar Nahin
Yani Aisa Hai Jaise Furqat Ho

Tum Ho Angdaai Rang-O-Nikhat Ki
Kaise Angdaai Se Shikaayat Ho

Kis Tarah Chhor Doon Tumhein Jaanaan
Tum Meri Zindagi Ki Aadat Ho

Kis Liye Dekhti Ho Aayeena
Tum To Khud Se Bhi Khoobsoorat Ho

Daastaan Khatm Hone Waali Hai
Tum Meri Aakhri Muhabbat Ho


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 822