Bashir Badr Poetry

Agar talaash karun koi mil hi jaayega


Agar talaash karun koi mil hi jaayega

अगर तलाश करूँ कोई मिल ही जाएगा
मगर तुम्हारी तरह कौन मुझ को चाहेगा

तुम्हें ज़रूर कोई चाहतों से देखेगा
मगर वो आँखें हमारी कहाँ से लाएगा

न जाने कब तिरे दिल पर नई सी दस्तक हो
मकान ख़ाली हुआ है तो कोई आएगा

मैं अपनी राह में दीवार बन के बैठा हूँ
अगर वो आया तो किस रास्ते से आएगा

तुम्हारे साथ ये मौसम फ़रिश्तों जैसा है
तुम्हारे बा'द ये मौसम बहुत सताएगा

--------------------------------------------------------

Agar talaash karun koi mil hi jaayega
Magar tumhari tarah kaun mujh ko chahega

Tumhe zaroor koi chahaton se dekhega
Magar wo aankhein hamari kahaan se laayega

Na jaane kab tere dil par nayi si dastak ho
Makaan khaali hua hai to koi aayega

Main apni raah mein deewaar ban ke baitha hoon
Agar wo aaya to kis raaste se aayega

Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bohot sataayega


Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 657