Parveen Shakir Poetry

Ab bhala chhod ke ghar kya karte


Ab bhala chhod ke ghar kya karte

ab bhala chhod ke ghar kya karte
shaam ke vaqt safar kya karte

Teri masrufiyaten jante hain
apne aane ki ḳhabar kya karte

jab sitare hi nahin mil paae
le ke ham shams-o-qamar kya karte

vo musafir hi khuli dhuup Ka tha
saae phaila ke shajar kya karte

ḳhaak hi avval o aḳhir Thahri
kar ke zarre ko guhar kya karte

raae pahle se bana li tu ne
dil men ab ham tire ghar kya karte

ishq ne saare saliqe baḳhshe
husn se kasb-e-hunar kya karte
--------------------------------
अब भला छोड़ के घर क्या करते
शाम के वक़्त सफ़र क्या करते

तेरी मशरूफ़ियतें जानते हैं
अपने आने की ख़बर क्या करते

जब सितारे ही नहीं मिल पाए
ले के हम शम्स-ओ-क़मर क्या करते

वो मुसाफ़िर ही खुली धूप का था
साए फैला के शजर क्या करते

ख़ाक ही अव्वल-ओ-आख़िर ठहरी
कर के ज़र्रे को गुहर क्या करते

राय पहले से बना ली तू ने
दिल में अब हम तेरे घर क्या करते

इश्क़ ने सारे सलीक़े बख़्शे
हुस्न से कस्ब-ए-हुनर क्या करते

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 1302