Faiz Ahmed Faiz Poetry

moti ho ki sheesha jaam ki dur


moti ho ki sheesha jaam ki dur

moti ho ki sheesha jaam ki dur
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkon se jud saka hai
jo toot gaya so chhoot gaya

tum naahak tukde chun chun kar
daaman mein chhupaaye baithe ho
sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaaye baithe ho

shaayad ki inheen tukdon mein kahi
vo saaghar-e-dil hai jis mein kabhi
sad-naaz se utara karti thi
sahba-e-gham-e-jaanaan ki pari

phir duniya waalon ne tum se
ye saaghar le kar phod diya
jo may thi baha di mitti mein
mehmaan ka shahpar tod diya

ye rangeen reze hain shaayad
un shokh bilorin sapnon ke
tum mast jawaani mein jin se
khilwat ko sajaaya karte the

naadaari daftar bhook aur gham
un sapnon se takraate rahe
be-rehm tha chaumukh patharao
ye kaanch ke dhaanche kya karte

ya shaayad in zarroon mein kahi
moti hai tumhaari izzat ka
vo jis se tumhaare izz pe bhi
shamshaad-qadon ne rashk kiya

is maal ki dhun mein firte the
taajir bhi bahut rehzan bhi kai
hai chor-nagar yaa mufalis ki
gar jaan bachi to aan gai

ye saaghar sheeshe laal-o-guhar
saalim hon to qeemat paate hain
yun tukde tukde hon to faqat
chubhte hain lahu rulwaate hain

tum naahak sheeshe chun chun kar
daaman mein chhupaaye baithe ho
sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaaye baithe ho

yaadon ke girebaanoń ke rafu
par dil ki guzar kab hoti hai
ik bakhiya udhera ek siya
yun umr basar kab hoti hai

is kaar-gah-e-hasti mein jahaan
ye saaghar sheeshe dhalti hain
har shay ka badal mil saka hai
sab daaman pur ho sakte hain

jo haath badhe yaavar hai yahan
jo aankh uthe vo bakhtawar
yaa dhan-daulat ka ant nahin
hon ghaat mein daaku laakh magar

kab loot-jhapat se hasti ki
dukaanein khaali hoti hain
yaa parbat-parbat heere hain
yaa saagar saagar moti hain

kuchh log hain jo is daulat par
parde latkaate firte hain
har parbat ko har saagar ko
neelaam chadhate firte hain

kuchh vo bhi hain jo lad bhir kar
ye parde noch giraate hain
hasti ke uthaai-giron ki
har chaal uljhaaye jaate hain

in dono mein ran padta hai
nit basti-basti nagar-nagar
har baste ghar ke seene mein
har chalti raah ke maathe par

ye kaalk bharte firte hain
vo jot jagaate rahte hain
ye aag lagaate firte hain
vo aag bujhaate rahte hain

sab saaghar sheeshe laal-o-guhar
is baazi mein bad jaate hain
utho sab khaali haathon ko
is ran se bulaave aate hain
----------------------------------
मोती हो कि शीशा जाम कि दुर
जो टूट गया सो टूट गया
कब अश्कों से जुड़ सकता है
जो टूट गया सो छूट गया

तुम नाहक़ टुकड़े चुन चुन कर
दामन में छुपाए बैठे हो
शीशों का मसीहा कोई नहीं
क्या आस लगाए बैठे हो

शायद कि इन्हीं टुकड़ों में कहीं
वो साग़र-ए-दिल है जिस में कभी
सद-नाज़ से उतरा करती थी
सहबा-ए-ग़म-ए-जानाँ की परी

फिर दुनिया वालों ने तुम से
ये साग़र ले कर फोड़ दिया
जो मय थी बहा दी मिट्टी में
मेहमान का शहपर तोड़ दिया

ये रंगीं रेज़े हैं शायद
उन शोख़ बिलोरीं सपनों के
तुम मस्त जवानी में जिन से
ख़ल्वत को सजाया करते थे

नादारी दफ़्तर भूक और ग़म
उन सपनों से टकराते रहे
बे-रहम था चौमुख पथराओ
ये काँच के ढाँचे क्या करते

या शायद इन ज़र्रों में कहीं
मोती है तुम्हारी इज़्ज़त का
वो जिस से तुम्हारे इज्ज़ पे भी
शमशाद-क़दों ने रश्क किया

इस माल की धुन में फिरते थे
ताजिर भी बहुत रहज़न भी कई
है चोर-नगर याँ मुफ़लिस की
गर जान बची तो आन गई

ये साग़र शीशे लाल-ओ-गुहर
सालिम हों तो क़ीमत पाते हैं
यूँ टुकड़े टुकड़े हों तो फ़क़त
चुभते हैं लहू रुलवाते हैं

तुम नाहक़ शीशे चुन चुन कर
दामन में छुपाए बैठे हो
शीशों का मसीहा कोई नहीं
क्या आस लगाए बैठे हो

यादों के गिरेबानों के रफ़ू
पर दिल की गुज़र कब होती है
इक बख़िया उधेड़ा एक सिया
यूँ उम्र बसर कब होती है

इस कार-गह-ए-हस्ती में जहाँ
ये साग़र शीशे ढलते हैं
हर शय का बदल मिल सकता है
सब दामन पुर हो सकते हैं

जो हाथ बढ़े यावर है यहाँ
जो आँख उठे वो बख़्तावर
याँ धन-दौलत का अंत नहीं
हों घात में डाकू लाख मगर

कब लूट-झपट से हस्ती की
दूकानें ख़ाली होती हैं
याँ परबत-परबत हीरे हैं
याँ सागर सागर मोती हैं

कुछ लोग हैं जो इस दौलत पर
पर्दे लटकाते फिरते हैं
हर पर्बत को हर सागर को
नीलाम चढ़ाते फिरते हैं

कुछ वो भी हैं जो लड़ भिड़ कर
ये पर्दे नोच गिराते हैं
हस्ती के उठाई-गीरों की
हर चाल उलझाए जाते हैं

इन दोनों में रन पड़ता है
नित बस्ती-बस्ती नगर-नगर
हर बस्ते घर के सीने में
हर चलती राह के माथे पर

ये कालक भरते फिरते हैं
वो जोत जगाते रहते हैं
ये आग लगाते फिरते हैं
वो आग बुझाते रहते हैं

सब साग़र शीशे लाल-ओ-गुहर
इस बाज़ी में बद जाते हैं
उट्ठो सब ख़ाली हाथों को
इस रन से बुलावे आते हैं

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 386