Faiz Ahmed Faiz Poetry

aaj ik harf ko phir dhundhta firta hai khayal


aaj ik harf ko phir dhundhta firta hai khayal

aaj ik harf ko phir dhundhta firta hai khayal
madh bhara harf koi zahar bhara harf koi
dil-nasheen harf koi qahar bhara harf koi
harf-e-ulfaat koi dildaar-e-nazar ho jaise
jis se milti hai nazar bosa-e-lab ki soorat
itna raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yaar mein aaghaaz-e-tarab ki soorat
harf-e-nafrat koi shamsheer-e-ghazab ho jaise
ta-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaayen
itna tareek ki shamshaan ki shab ho jaise
lab pe laaun to mere hont siyah ho jaayen

aaj har sur se har ik raag ka naata toota
dhundti phirti hai mutarib ko phir us ki awaaz
joshish-e-dard se majnoon ke garebaan ki tarah
chaak-dar-chaak hua aaj har ik parda-e-saaz
aaj har mauj-e-hawa se hai sawaali khilqat
la koi naghma koi saut tiri umr daraaz
nauha-e-gham hi sahi shor-e-shahadat hi sahi
soor-e-mahshar hi sahi baang-e-qayamat hi sahi
---------------------------------------------------
आज इक हर्फ़ को फिर ढूँडता फिरता है ख़याल
मध भरा हर्फ़ कोई ज़हर भरा हर्फ़ कोई
दिल-नशीं हर्फ़ कोई क़हर भरा हर्फ़ कोई
हर्फ़-ए-उल्फ़त कोई दिलदार-ए-नज़र हो जैसे
जिस से मिलती है नज़र बोसा-ए-लब की सूरत
इतना रौशन कि सर-ए-मौजा-ए-ज़र हो जैसे
सोहबत-ए-यार में आग़ाज़-ए-तरब की सूरत
हर्फ़-ए-नफ़रत कोई शमशीर-ए-ग़ज़ब हो जैसे
ता-अबद शहर-ए-सितम जिस से तबह हो जाएँ
इतना तारीक कि शमशान की शब हो जैसे
लब पे लाऊँ तो मिरे होंट सियह हो जाएँ

आज हर सुर से हर इक राग का नाता टूटा
ढूँडती फिरती है मुतरिब को फिर उस की आवाज़
जोशिश-ए-दर्द से मजनूँ के गरेबाँ की तरह
चाक-दर-चाक हुआ आज हर इक पर्दा-ए-साज़
आज हर मौज-ए-हवा से है सवाली ख़िल्क़त
ला कोई नग़्मा कोई सौत तिरी उम्र दराज़
नौहा-ए-ग़म ही सही शोर-ए-शहादत ही सही
सूर-ए-महशर ही सही बाँग-ए-क़यामत ही सही

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 563