Faiz Ahmed Faiz Poetry

aa ki waabasta hain us husn ki yaadein tujh se


aa ki waabasta hain us husn ki yaadein tujh se

aa ki waabasta hain us husn ki yaadein tujh se
jis ne is dil ko pari-khaana bana rakha tha
jis ki ulfat mein bhula rakhi thi duniya ham ne
dehr ko dehr ka afsaana bana rakha tha

aashna hain tire qadmon se vo raahen jin par
us ki madhosh jawaani ne inaayat ki hai
kaarwaan guzre hain jin se usi raanaai ke
jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hai

tujh se kheli hain vo mehboob hawaaein jin mein
us ke malboos ki afsurda mahak baaki hai
tujh pe barsa hai usi baam se mahtaab ka noor
jis mein beeti hui raaton ki kasak baaki hai

tu ne dekhi hai vo peshaani vo rukhsaar vo hont
zindagi jin ke tasavvur mein luta di ham ne
tujh pe utthi hain vo khoi hui saahir aankhen
tujh ko maaloom hai kyun umr ganwa di ham ne

ham pe mushtarka hain ehsaan gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginwaauun to ginwa na sakoon
ham ne is ishq mein kya khoya hai kya seekha hai
juz tire aur ko samjhaaoon to samjha na sakoon

aajizi seekhi ghareebon ki himayat seekhi
yaas-o-hirmaan ke dukh-dard ke ma'ni seekhe
zer-daston ke masaib ko samajhna seekha
sard aahon ke rukh-e-zard ke ma'ni seekhe

jab kahi baith ke rote hain vo bekas jin ke
ashk aankhon mein bilakte hue so jaate hain
na-tawanoon ke nivaalon pe jhapatte hain uqaab
baazu tole hue mandalaate hue aate hain

jab kabhi bikta hai bazaar mein mazdoor ka gosht
shaah-raahon pe ghareebon ka lahu bahta hai
aag si seene mein rah rah ke ubalti hai na pooch
apne dil par mujhe qaabu hi nahin rehta hai 
-------------------------------------------------
आ कि वाबस्ता हैं उस हुस्न की यादें तुझ से
जिस ने इस दिल को परी-ख़ाना बना रक्खा था
जिस की उल्फ़त में भुला रक्खी थी दुनिया हम ने
दहर को दहर का अफ़्साना बना रक्खा था

आश्ना हैं तिरे क़दमों से वो राहें जिन पर
उस की मदहोश जवानी ने इनायत की है
कारवाँ गुज़रे हैं जिन से उसी रानाई के
जिस की इन आँखों ने बे-सूद इबादत की है

तुझ से खेली हैं वो महबूब हवाएँ जिन में
उस के मल्बूस की अफ़्सुर्दा महक बाक़ी है
तुझ पे बरसा है उसी बाम से महताब का नूर
जिस में बीती हुई रातों की कसक बाक़ी है

तू ने देखी है वो पेशानी वो रुख़्सार वो होंट
ज़िंदगी जिन के तसव्वुर में लुटा दी हम ने
तुझ पे उट्ठी हैं वो खोई हुई साहिर आँखें
तुझ को मालूम है क्यूँ उम्र गँवा दी हम ने

हम पे मुश्तरका हैं एहसान ग़म-ए-उल्फ़त के
इतने एहसान कि गिनवाऊँ तो गिनवा न सकूँ
हम ने इस इश्क़ में क्या खोया है क्या सीखा है
जुज़ तिरे और को समझाऊँ तो समझा न सकूँ

आजिज़ी सीखी ग़रीबों की हिमायत सीखी
यास-ओ-हिरमान के दुख-दर्द के मअ'नी सीखे
ज़ेर-दस्तों के मसाइब को समझना सीखा
सर्द आहों के रुख़-ए-ज़र्द के मअ'नी सीखे

जब कहीं बैठ के रोते हैं वो बेकस जिन के
अश्क आँखों में बिलकते हुए सो जाते हैं
ना-तवानों के निवालों पे झपटते हैं उक़ाब
बाज़ू तोले हुए मंडलाते हुए आते हैं

जब कभी बिकता है बाज़ार में मज़दूर का गोश्त
शाह-राहों पे ग़रीबों का लहू बहता है
आग सी सीने में रह रह के उबलती है न पूछ
अपने दिल पर मुझे क़ाबू ही नहीं रहता है

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 311