Jaun Elia Poetry

Ajnabi shaam


Ajnabi shaam

ajnabi shaam
dhund chhaai hui hai jheelon par
ud rahe hain parind teelon par
sab ka rukh hai nashehmanon ki taraf
bastiyon ki taraf bano ki taraf

apne galloon ko le ke charvahe
sarhadi bastiyon mein ja pahunchen
dil-e-naakaam main kahaan jaaun
ajnabi shaam main kahaan jaaun
-----------------------------
 "अजनबी शाम"
धुँद छाई हुई है झीलों पर
उड़ रहे हैं परिंद टीलों पर
सब का रुख़ है नशेमनों की तरफ़
बस्तियों की तरफ़ बनों की तरफ़

अपने गल्लों को ले के चरवाहे
सरहदी बस्तियों में जा पहुँचे
दिल-ए-नाकाम मैं कहाँ जाऊँ
अजनबी शाम मैं कहाँ जाऊँ


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 498