Zafar Iqbal Poetry

ḳhamushi achchhi nahin inkar hona chahiye


ḳhamushi achchhi nahin inkar hona chahiye

ḳhamushi achchhi nahin inkar hona chahiye
ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye

ḳhvab kī tabir par israr hai jin ko abhi
pahle un ko ḳhvab se bedar hona chahiye

Duub kar marna bhi uslub-e-mohabbat ho to ho
vo jo dariya hai to us ko paar hona chahiye

ab vahi karne lage didar se aage ki baat
jo kabhi kahte the bas didar hona chahiye

baat puuri hai adhuri chahiye ai jan-e-jan
kaam asan hai ise dushvar hona chahiye

dosti ke naam par kiije na kyunkar dushmani
kuchh na kuchh aḳhir tariq-e-kar hona chahiye

jhuuT bola hai to qaaem bhi raho us par 'zafar'
aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye
-----------------------------------------

ख़ामोशी अच्छी नहीं, इंकार होना चाहिए
ये तमाशा अब सर-ए-बाज़ार होना चाहिए

ख़्वाब की ताबीर पर इसरार है जिनको अभी
पहले उनको ख़्वाब से बेदार होना चाहिए

डूब कर मरना भी उस्लूब-ए-मोहब्बत हो तो हो
वो जो दरिया है, तो उसको पार होना चाहिए

अब वही करने लगे दीदार से आगे की बात
जो कभी कहते थे बस दीदार होना चाहिए

बात पूरी है अधूरी चाहिए ऐ जान-ए-जान
काम आसान है, इसे दुश्वार होना चाहिए

दोस्ती के नाम पर कीजिए ना क्यूंकर दुश्मनी
कुछ न कुछ आख़िर तरीक़-ए-कार होना चाहिए

झूठ बोला है तो कायम भी रहो उस पर 'ज़फ़र'
आदमी को साहिब-ए-करदार होना चाहिए

Poet - Zafar Iqbal
Location: Okara, Punjab, Pakistan
Views: 185