Ahmed Faraz Poetry

Tujh se bichhad kar bhi zinda tha


Tujh se bichhad kar bhi zinda tha

Tujh se bichhad kar bhi zinda tha
Mar mar kar ye zehar piya hai

Chup rehna aasan nahi tha
Barson dil ka khoon kiya hai

Jo kuch guzri, jaisi guzri
Tujh ko kab ilzaam diya hai

Apne haal pe khud roya hoon
Khud hi apna chaak siya hai

Kitni jaan-kahi se main ne
Tujh ko dil se mahv kiya hai

Sannate ki jheel mein tu ne
Phir kyun patthar phenk diya hai
-----------------------------------
तुझ से बिछड़ कर भी ज़िंदा था
मर मर कर ये ज़हर पिया है

चुप रहना आसान नहीं था
बरसों दिल का ख़ून किया है

जो कुछ गुज़री जैसी गुज़री
तुझ को कब इल्ज़ाम दिया है

अपने हाल पे ख़ुद रोया हूँ
ख़ुद ही अपना चाक सिया है

कितनी जाँकाही से मैं ने
तुझ को दिल से महव किया है

सन्नाटे की झील में तू ने
फिर क्यूँ पत्थर फेंक दिया है








Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 397