Bashir Badr Poetry

Abhi is taraf na nigah kar, main ghazal ki palkein sanvaar loon


Abhi is taraf na nigah kar, main ghazal ki palkein sanvaar loon

Abhi is taraf na nigah kar, main ghazal ki palkein sanvaar loon
Mera lafz-lafz ho aaina, tujhe aaine mein utaar loon

Main tamaam din ka thaka hua, tu tamaam shab ka jaga hua
Zara thehar ja isi mod par, tere saath shaam guzaar loon

Agar aasmaan ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan, tere haar loon

Kahin aur baant de shohratein, kahin aur bakhsh de izzatein
Mere paas hai mera aaina, main kabhi na gard-o-ghubaar loon

Kai ajnabi teri raah mein, mere paas se yun guzhar gaye
Jinhein dekh kar yeh tadap hui, tera naam le ke pukar loon
-----------------------------------------------------------
अभी इस तरफ़ न निगाह कर मैं ग़ज़ल की पलकें संवार लूं
मिरा लफ़्ज़ लफ़्ज़ हो आईना तुझे आइने में उतार लूं

मैं तमाम दिन का थका हुआ तू तमाम शब का जगा हुआ
ज़रा ठहर जा इसी मोड़ पर तेरे साथ शाम गुज़ार लूं

अगर आसमां की नुमाइशों में मुझे भी इज़्न-ए-क़याम हो
तो मैं मोतियों की दुकान से तिरी बालियां तिरे हार लूं

कहीं और बांट दे शोहरतें कहीं और बख़्श दे इज़्ज़तें
मिरे पास है मिरा आईना मैं कभी न गर्द-ओ-ग़ुबार लूं

कई अजनबी तिरी राह में मिरे पास से यूं गुज़र गए
जिन्हें देख कर ये तड़प हुई तिरा नाम ले के पुकार लूं

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 426