Umair Najmi Poetry

Mujhe pahle to lagta tha ki zaati masala hai


Mujhe pahle to lagta tha ki zaati masala hai

mujhe pahle to lagta tha ki zaati masala hai
main phir samjha mohabbat ka.enati masala hai

parinde qaid hain tum chahchahahaT chahte ho
tumhen to achchha-ḳhasa nafsiyati masala hai

hamen thoḌa junun darkar hai thoḌa sukun bhi
hamari nasl men ik jiniyati masala hai

baḌi mushkil hai bante silsilon men ye tavaqquf
hamare rabton ki be-sabati mas.ala hai

vo kahte hain ki jo hoga vo aage ja ke hoga
to ye duniya bhi koi tajrabati mas.ala hai

hamara vasl bhi tha ittifaqi mas.ala tha
hamara hijr bhi hai hadsati mas.ala hai
----------------------------------------
मैंने पहले तो लगता था कि ज़ाती मसला है
मैं फिर समझा मोहब्बत का एंती मसला है

परिंदे क़ैद हैं तुम चहचहाहट चाहते हो
तुम्हें तो अच्छा-ख़ासा नफ्सियाती मसला है

हमें थोड़ा जुनून दरकार है थोड़ा सुकून भी
हमारी नस्ल में एक जिनियाती मसला है

बड़ी मुश्किल है बनते सिलसिलों में ये तवक्कुफ़
हमारे रिश्तों की बे-सबाती मसला है

वो कहते हैं कि जो होगा वो आगे जा के होगा
तो ये दुनिया भी कोई तज्रबाती मसला है

हमारा वस्ल भी था इत्तिफ़ाक़ी मसला था
हमारा हिज्र भी है हास्ताती मसला है


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 1014