Tehzeeb Hafi Poetry

mujhko darwaaze par hi rok liya jaata hai


mujhko darwaaze par hi rok liya jaata hai

mujhko darwaaze par hi rok liya jaata hai
mere aane se bhala aap ka kya jaata hai

tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho
maut likhkar to kalam tod diya jaata hai

tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai
teri tasveer se jo kaam liya jaata hai 
-----------------------------------
मुझको दरवाजे पर ही रोक लिया जाता है
मेरे आने से भला आप का क्या जाता है

तुम अगर जाने लगे हो तो पलट कर मत देखो
मौत लिखकर तो कलम तोड़ दिया जाता है

तुझको बतलाता मगर शर्म बहुत आती है
तेरी तस्वीर से जो काम लिया जाता है

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 53