Tehzeeb Hafi Poetry

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo waqt aane pe kar jaaunga


maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo waqt aane pe kar jaaunga

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo waqt aane pe kar jaaunga
tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga

tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin
maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga

chahta hoon tumhein aur bahut chahta hoon tumhein khud bhi maaloom hai
haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga

tere dil se tere shehar se tere ghar se teri aankh se tere dar se
teri galiyon se tere watan se nikala hua hoon kidhar jaaunga 
-----------------------------------------------------------
मैंने जो कुछ भी सोचा हुआ है, मैं वो वक़्त आने पे कर जाऊँगा
तुम मुझे ज़हर लगते हो और मैं किसी दिन तुम्हें पी के मर जाऊँगा

तू तो बीनाई है मेरी तेरे अलावा मुझे कुछ भी दिखता नहीं
मैंने तुझको अगर तेरे घर पे उतारा तो मैं कैसे घर जाऊँगा

चाहता हूँ तुम्हें और बहुत चाहता हूँ, तुम्हें ख़ुद भी मालूम है
हाँ अगर मुझसे पूछा किसी ने तो मैं सीधा मुँह पर मुकर जाऊँगा

तेरे दिल से तेरे शहर से तेरे घर से तेरी आँख से तेरे दर से
तेरी गलियों से तेरे वतन से निकाला हुआ हूँ किधर जाऊँगा

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 64