Tehzeeb Hafi Poetry

jo tere saath rahte hue sogwaar ho


jo tere saath rahte hue sogwaar ho

jo tere saath rahte hue sogwaar ho
laanat ho aise shakhs pe aur beshumaar ho

ab itni der bhi na laga ye ho na kahi
tu aa chuka ho aur tera intezar ho

mai phool hoon to phir tere baalo mein kyun nahi hoon
tu teer hai to mere kaleje ke paar ho

ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar
haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

kab tak kisi se koi mohabbat se pesh aaein
usko mere ravayye par dukh hai to yaar ho 
-----------------------------------------
जो तेरे साथ रहते हुए सोगवार हो
लानत हो ऐसे शख़्स पे और बेशुमार हो

अब इतनी देर भी ना लगा, ये हो ना कहीं
तू आ चुका हो और तेरा इंतज़ार हो

मै फूल हूँ तो फिर तेरे बालो में क्यों नही हूँ
तू तीर है तो मेरे कलेजे के पार हो

एक आस्तीन चढ़ाने की आदत को छोड़ कर
‘हाफ़ी’ तुम आदमी तो बहुत शानदार हो

कब तक किसी से कोई मोहब्बत से पेश आएं
उसको मेरे रवय्ये पर दुख है तो यार हो

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 56