Sahir Ludhianvi Poetry

ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke


ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke

ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke
ye lutte hue kaarvaan zindagi ke
kahaan hain kahaan hai muhafiz khudi ke
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

ye purpeech galiyaan ye badnaam bazaar
ye gumnaam raahi ye sikko ki jhankaar
ye ismat ke saude ye saudo'n pe takraar
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain


ye sadiyon se bekhwaab sahmi si galiyaan
ye masli hui adhkhili zard kaliyaan
ye bikti hui khokhli rang-ralliyaan
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

vo ujle dareechon mein paayal ki chhan-chhan
thaki-haari saanson pe table ki dhan-dhan
ye berooh kamron mein khansi ki than-than
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

ye phoolon ke gajre ye peeko'n ke chheente
ye bebaak nazren ye gustaakh fikre
ye dhalke badan aur ye beemaar chehre
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi
tanomand bete bhi abbaa miyaan bhi
ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

madad chahti hai ye hawwa ki beti
yashoda ki hamjins radha ki beti
payambar ki ummat zulaykhaan ki beti
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

zara mulk ke rahbaro'n ko bulao
ye kuche ye galiyaan ye manzar dikhaao
jinhen naaz hai hind par unko laao
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain 
--------------------------------------------
ये कूचे, ये नीलामघर दिलकशी के
ये लुटते हुए कारवां ज़िन्दगी के
कहां हैं, कहां है, मुहाफ़िज़ ख़ुदी के
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ये पुरपेच गलियां, ये बदनाम बाज़ार
ये ग़ुमनाम राही, ये सिक्कों की झन्कार
ये इस्मत के सौदे, ये सौदों पे तकरार
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं


ये सदियों से बेख्वाब, सहमी सी गलियां
ये मसली हुई अधखिली ज़र्द कलियां
ये बिकती हुई खोखली रंग-रलियां
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

वो उजले दरीचों में पायल की छन-छन
थकी-हारी सांसों पे तबले की धन-धन
ये बेरूह कमरों में खांसी की ठन-ठन
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ये फूलों के गजरे, ये पीकों के छींटे
ये बेबाक नज़रें, ये गुस्ताख फ़िकरे
ये ढलके बदन और ये बीमार चेहरे
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

यहां पीर भी आ चुके हैं, जवां भी
तनोमंद बेटे भी, अब्बा, मियां भी
ये बीवी भी है और बहन भी है, मां भी
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

मदद चाहती है ये हव्वा की बेटी
यशोदा की हमजिंस, राधा की बेटी
पयम्बर की उम्मत, ज़ुलयखां की बेटी
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ज़रा मुल्क के रहबरों को बुलाओ
ये कुचे, ये गलियां, ये मंजर दिखाओ
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर उनको लाओ
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 40