Ali Zaryoun Poetry

darne ke liye hai na naseehat ke liye hai


darne ke liye hai na naseehat ke liye hai

darne ke liye hai na naseehat ke liye hai
jis umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai

ye dil jo abhi pichhle janaaze nahin bhoola
taiyaar ab ik aur museebat ke liye hai

kya hai jo mujhe hukm nahin maanne aate
deewaana to hota hi bagaavat ke liye hai

paaysis hai agar vo to pareshaan na hona
ye burj bana hi kisi hairat ke liye hai

ye pyaar tujhe isliye shobha nahin deta
tu jhooth hai aur jhooth siyaasat ke liye hai 
--------------------------------------------
डरने के लिए है न नसीहत के लिए है
जिस उम्र में तुम हो वो मोहब्बत के लिए है

ये दिल जो अभी पिछले जनाज़े नहीं भूला
तैयार अब इक और मुसीबत के लिए है

क्या है जो मुझे हुक्म नहीं मानने आते
दीवाना तो होता ही बगावत के लिए है

पाइसिस है अगर वो तो परेशान न होना
ये बुर्ज बना ही किसी हैरत के लिए है

ये प्यार तुझे इसलिए शोभा नहीं देता
तू झूठ है और झूठ सियासत के लिए है

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 6