Allama Iqbal Poetry

ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi


ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi

ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi
ki khudi ke aarifon ka hai maqaam paadshaahi

tiri zindagi isee se tiri aabroo isee se
jo rahi khudi to shaahi na rahi to roo-siyaahi

na diya nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem tu ne
mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nasheen na raahi

mere halka-e-sukhan mein abhi zer-e-tarbiyat hain
vo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi

ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar
ki mujhe to khush na aaya ye tariq-e-khaanqaahi

tu huma ka hai shikaari abhi ibtida hai teri
nahin maslahat se khaali ye jahaan-e-murg-o-maahi

tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa
lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi
--------------------------------------------
ये पयाम दे गई है मुझे बाद-ए-सुब्ह-गाही
कि ख़ुदी के आरिफ़ों का है मक़ाम पादशाही

तिरी ज़िंदगी इसी से तिरी आबरू इसी से
जो रही ख़ुदी तो शाही न रही तो रू-सियाही

न दिया निशान-ए-मंज़िल मुझे ऐ हकीम तू ने
मुझे क्या गिला हो तुझ से तू न रह-नशीं न राही

मिरे हल्क़ा-ए-सुख़न में अभी ज़ेर-ए-तर्बियत हैं
वो गदा कि जानते हैं रह-ओ-रस्म-ए-कज-कुलाही

ये मुआमले हैं नाज़ुक जो तिरी रज़ा हो तू कर
कि मुझे तो ख़ुश न आया ये तरिक़-ए-ख़ानक़ाही

तू हुमा का है शिकारी अभी इब्तिदा है तेरी
नहीं मस्लहत से ख़ाली ये जहान-ए-मुर्ग़-ओ-माही

तू अरब हो या अजम हो तिरा ला इलाह इल्ला
लुग़त-ए-ग़रीब जब तक तिरा दिल न दे गवाही

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 262