Javed Akhtar Poetry

ajeeb aadmi tha vo mohabbaton ka geet tha


ajeeb aadmi tha vo mohabbaton ka geet tha

ajeeb aadmi tha vo
mohabbaton ka geet tha
baghawaton ka raag tha
kabhi vo sirf phool tha
kabhi vo sirf aag tha
ajeeb aadmi tha vo

vo muflison se kehta tha
ki din badal bhi sakte hain
vo jaabiroṅ se kehta tha
tumhaare sar pe sone ke jo taaj hain
kabhi pighal bhi sakte hain
vo bandishon se kehta tha
main tum ko tod saka hoon
sahoolaton se kehta tha
main tum ko chhod saka hoon
hawaon se vo kehta tha
main tum ko mod saka hoon

vo khwaab se ye kehta tha
ki tujh ko sach karunga main
vo aarzooon se kehta tha
main tera hum-safar hoon
tere saath hi chalunga main
tu chahe jitni door bhi bana le apni manzilen
kabhi nahin thakoon-ga main

vo zindagi se kehta tha
ki tujh ko main sajaaoonga
tu mujh se chaand maang le
main chaand le ke aaunga

vo aadmi se kehta tha
ki aadmi se pyaar kar
ujad rahi hai ye zameen
kuchh is ka ab singhaar kar
ajeeb aadmi tha vo

vo zindagi ke saare gham
tamaam dukh
har ik sitam se kehta tha
main tum se jeet jaaunga
ki tum ko to mita hi dega
ek roz aadmi
bhula hi dega ye jahaan
meri alag hai dastaan

vo aankhen jin mein khwaab hain
vo dil hai jin mein aarzoo
vo baazu jin mein hai sakat
vo hont jin pe lafz hain
rahoonga un ke darmiyaan
ki jab main beet jaaunga
ajeeb aadmi tha vo 
-------------------------
अजीब आदमी था वो
मोहब्बतों का गीत था
बग़ावतों का राग था
कभी वो सिर्फ़ फूल था
कभी वो सिर्फ़ आग था
अजीब आदमी था वो

वो मुफ़लिसों से कहता था
कि दिन बदल भी सकते हैं
वो जाबिरों से कहता था
तुम्हारे सर पे सोने के जो ताज हैं
कभी पिघल भी सकते हैं
वो बंदिशों से कहता था
मैं तुम को तोड़ सकता हूँ
सहूलतों से कहता था
मैं तुम को छोड़ सकता हूँ
हवाओं से वो कहता था
मैं तुम को मोड़ सकता हूँ

वो ख़्वाब से ये कहता था
कि तुझ को सच करूँगा मैं
वो आरज़ूओं से कहता था
मैं तेरा हम-सफ़र हूँ
तेरे साथ ही चलूँगा मैं
तू चाहे जितनी दूर भी बना ले अपनी मंज़िलें
कभी नहीं थकूँगा मैं

वो ज़िंदगी से कहता था
कि तुझ को मैं सजाऊँगा
तू मुझ से चाँद माँग ले
मैं चाँद ले के आऊँगा

वो आदमी से कहता था
कि आदमी से प्यार कर
उजड़ रही है ये ज़मीं
कुछ इस का अब सिंघार कर
अजीब आदमी था वो

वो ज़िंदगी के सारे ग़म
तमाम दुख
हर इक सितम से कहता था
मैं तुम से जीत जाऊँगा
कि तुम को तो मिटा ही देगा
एक रोज़ आदमी
भुला ही देगा ये जहाँ
मिरी अलग है दास्ताँ

वो आँखें जिन में ख़्वाब हैं
वो दिल है जिन में आरज़ू
वो बाज़ू जिन में है सकत
वो होंट जिन पे लफ़्ज़ हैं
रहूँगा उन के दरमियाँ
कि जब मैं बीत जाऊँगा
अजीब आदमी था वो

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 417