Allama Iqbal Poetry

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzoomandi


mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzoomandi

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzoomandi
maqaam-e-bandagi de kar na luun shaan-e-khudaavandi

tire azaad bandon ki na ye duniya na vo duniya
yahan marne ki paabandi wahan jeene ki paabandi

hijaab ikseer hai aawaara-e-koo-e-mohabbat ko
meri aatish ko bhadrkaati hai teri der-paivandi

guzar-auqaat kar leta hai ye koh o biyaabaan mein
ki shaheen ke liye zillat hai kaar-e-aashiyaan-bandi

ye faizaan-e-nazar tha ya ki khushhaali ki karaamat thi
sikhaaye kis ne ismaail ko aadaab-e-farzandi

ziyaarat-gaah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahd meri
ki khaak-e-raah ko main ne bataaya raaz-e-alvandi

meri mashshaatgi ki kya zaroorat husn-e-ma'ni ko
ki fitrat khud-b-khud karti hai laale ki hina-bandi 
----------------------------------------------
मता-ए-बे-बहा है दर्द-ओ-सोज़-ए-आरज़ूमंदी
मक़ाम-ए-बंदगी दे कर न लूँ शान-ए-ख़ुदावंदी

तिरे आज़ाद बंदों की न ये दुनिया न वो दुनिया
यहाँ मरने की पाबंदी वहाँ जीने की पाबंदी

हिजाब इक्सीर है आवारा-ए-कू-ए-मोहब्बत को
मिरी आतिश को भड़काती है तेरी देर-पैवंदी

गुज़र-औक़ात कर लेता है ये कोह ओ बयाबाँ में
कि शाहीं के लिए ज़िल्लत है कार-ए-आशियाँ-बंदी

ये फ़ैज़ान-ए-नज़र था या कि मकतब की करामत थी
सिखाए किस ने इस्माईल को आदाब-ए-फ़रज़ंदी

ज़ियारत-गाह-ए-अहल-ए-अज़्म-ओ-हिम्मत है लहद मेरी
कि ख़ाक-ए-राह को मैं ने बताया राज़-ए-अलवंदी

मिरी मश्शातगी की क्या ज़रूरत हुस्न-ए-मअ'नी को
कि फ़ितरत ख़ुद-ब-ख़ुद करती है लाले की हिना-बंदी

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 234