Ahmed Faraz Poetry

Roz jab dhoop pahaadon se utarne lagti


Roz jab dhoop pahaadon se utarne lagti

Roz jab dhoop pahaadon se utarne lagti
Koi ghatta hua, badhta hua bekal saaya

Ek deewaar se kehta ke mere saath chalo
Aur zanjeer-e-rifaqat se gurezaan deewaar

Apne pindaar ke nashshe mein sadaa istaada
Khwahish-e-hamdam-e-deerina pe hans deti thi

Kaun deewaar kisi saaye ke hum-raah chali
Kaun deewaar hamesha magar istaada rahi

Waqt deewaar ka saathi hai na saaye ka rafeeq
Aur ab sang-o-gil-o-khisht ke malbe ke tale

Ussi deewaar ka pindaar hai rezaa rezaa
Dhoop nikli hai magar jaane kahaan hai saaya.
------------------------------
रोज़ जब धूप पहाड़ों से उतरने लगती
कोई घटता हुआ बढ़ता हुआ बेकल साया

एक दीवार से कहता कि मिरे साथ चलो
और ज़ंजीर-ए-रिफ़ाक़त से गुरेज़ाँ दीवार

अपने पिंदार के नश्शे में सदा इस्तादा
ख़्वाहिश-ए-हमदम-ए-देरीना पे हँस देती थी

कौन दीवार किसी साए के हम-राह चली
कौन दीवार हमेशा मगर इस्तादा रही

वक़्त दीवार का साथी है न साए का रफ़ीक़
और अब संग-ओ-गिल-ओ-ख़िश्त के मलबे के तले

उसी दीवार का पिंदार है रेज़ा रेज़ा
धूप निकली है मगर जाने कहाँ है साया


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 255