Afkar Alvi Poetry

kaun kehta hai faqat khauf-e-azal deta hai


kaun kehta hai faqat khauf-e-azal deta hai

kaun kehta hai faqat khauf-e-azal deta hai
zulm to zulm hai eimaan badal deta hai

bebaasi mazhabi insaan bana deti hai
maan lete hain khuda sabr ka fal deta hai

vo bakheel aaj bhi daata hai bhale waqt na de
main use yaad bhi kar luun to ghazal deta hai

uski koshish hai ki vo apni kashish baqi rakhe
mere jazbaat machalte hain to chal deta hai

khaali bartan hi khanakta hai tabhi aadmi bhi
ghaas mat daalo to auqaat ugal deta hai

ham ko mehnat pe hi milna hai agar khuld mein chain
ye to ghar baithe-bithaaye hamein thal deta hai

zehan mein aur koi dukh nahin rehta afkaar
jitne bal bande ko vo zulf ka bal deta hai 
---------------------------------------
कौन कहता है फ़क़त ख़ौफ़-ए-अज़ल देता है
ज़ुल्म तो ज़ुल्म है, ईमान बदल देता है

बेबसी मज़हबी इंसान बना देती है
मान लेते हैं ख़ुदा सब्र का फल देता है

वो बख़ील आज भी दाता है, भले वक़्त न दे
मैं उसे याद भी कर लूँ तो ग़ज़ल देता है

उसकी कोशिश है कि वो अपनी कशिश बाक़ी रखे
मेरे जज़्बात मचलते हैं तो चल देता है

खाली बर्तन ही खनकता है, तभी आदमी भी
घास मत डालो तो औक़ात उगल देता है

हम को मेहनत पे ही मिलना है अगर ख़ुल्द में चैन
ये तो घर बैठे-बिठाये हमें थल देता है

ज़ेहन में और कोई दुख नहीं रहता 'अफ़कार'
जितने बल बंदे को वो ज़ुल्फ़ का बल देता है

Poet - Afkar Alvi
Location: Pakistan
Views: 340