Ahmed Faraz Poetry

Ye meri ghazlein, ye meri nazmein


Ye meri ghazlein, ye meri nazmein

Ye meri ghazlein, ye meri nazmein
Tamaam teri hikayatein hain

Ye tazkire tere lutf ke hain
Ye she’r teri shikayatein hain

Main sab tiri nazr kar raha hoon
Ye un zamanon ki saa’atain hain

Jo zindagi ke naye safar mein
Tujhe kisi waqt yaad aayen

To ek ek harf ji uthega
Pehan ke anfaas ki qabaayen

Udaas tanhaiyon ke lamhon
Mein naach uthengi ye apsaraayen

Mujhe tire dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye maanta hoon

Hazaar gham the jo zindagi ki
Talash mein the ye jaanta hoon

Mujhe khabar thi ke tere aanchal mein
Dard ki ret chhanta hoon

Magar har ek baar tujh ko chhoo kar
Ye ret rang-e-hina bani hai

Ye zakhm gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai

Ye dard mauj-e-saba hua hai
Ye aag dil ki sada bani hai

Aur ab ye saari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tire hain

Ye dukh ke nohe ye sukh ke naghme
Jo kal mire the wo ab tire hain

Jo teri qurbat, teri judai
Mein kat gaye roz-o-shab tire hain

Wo tera shaa’ir, tera mughanni
Wo jis ki baatein ajeeb si thin

Wo jis ke andaaz khusrawana the
Aur adaayein gareeb si thin

Wo jis ke jeene ki khwahishen bhi
Khud us ke apne naseeb si thin

Na pooch iska ke wo deewana
Bahut dino ka ujhad chuka hai

Wo kohkan to nahi tha lekin
Kadi chatanon se ladh chuka hai

Wo thak chuka tha aur us ka tesha
Usi ke seene mein gadh chuka hai
-------------------------
ये मेरी ग़ज़लें ये मेरी नज़्में
तमाम तेरी हिकायतें हैं

ये तज़्किरे तेरे लुत्फ़ के हैं
ये शे'र तेरी शिकायतें हैं

मैं सब तिरी नज़्र कर रहा हूँ
ये उन ज़मानों की साअ'तें हैं

जो ज़िंदगी के नए सफ़र में
तुझे किसी वक़्त याद आएँ

तो एक इक हर्फ़ जी उठेगा
पहन के अन्फ़ास की क़बाएँ

उदास तन्हाइयों के लम्हों
में नाच उट्ठेंगी ये अप्सराएँ

मुझे तिरे दर्द के अलावा भी
और दुख थे ये मानता हूँ

हज़ार ग़म थे जो ज़िंदगी की
तलाश में थे ये जानता हूँ

मुझे ख़बर थी कि तेरे आँचल में
दर्द की रेत छानता हूँ

मगर हर इक बार तुझ को छू कर
ये रेत रंग-ए-हिना बनी है

ये ज़ख़्म गुलज़ार बन गए हैं
ये आह-ए-सोज़ाँ घटा बनी है

ये दर्द मौज-ए-सबा हुआ है
ये आग दिल की सदा बनी है

और अब ये सारी मता-ए-हस्ती
ये फूल ये ज़ख़्म सब तिरे हैं

ये दुख के नौहे ये सुख के नग़्मे
जो कल मिरे थे वो अब तिरे हैं

जो तेरी क़ुर्बत तिरी जुदाई
में कट गए रोज़-ओ-शब तिरे हैं

वो तेरा शाइ'र तिरा मुग़न्नी
वो जिस की बातें अजीब सी थीं

वो जिस के अंदाज़ ख़ुसरवाना थे
और अदाएँ ग़रीब सी थीं

वो जिस के जीने की ख़्वाहिशें भी
ख़ुद उस के अपने नसीब सी थीं

न पूछ इस का कि वो दिवाना
बहुत दिनों का उजड़ चुका है

वो कोहकन तो नहीं था लेकिन
कड़ी चटानों से लड़ चुका है

वो थक चुका था और उस का तेशा
उसी के सीने में गड़ चुका है


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 270