Javed Akhtar Poetry

ye aaye din ke hangaame


ye aaye din ke hangaame

ye aaye din ke hangaame
ye jab dekho safar karna
yahan jaana wahan jaana
ise milna use milna
hamaare saare lamhe
aise lagte hain
ki jaise train ke chalne se pehle
railway-station par
jaldi jaldi apne dabbe dhoondte
koi musaafir hon
jinhen kab saans bhi lene ki mohlat hai
kabhi lagta hai
tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka
khayal aaye
kahaan itni bhi furqat hai
magar jab sang-dil duniya mera dil todti hai to
koi ummeed chalte chalte
jab munh morati hai to
kabhi koi khushi ka phool
jab is dil mein khilta hai
kabhi jab mujh ko apne zehan se
koi khayal inaam milta hai
kabhi jab ik tamannaa poori hone se
ye dil khaali sa hota hai
kabhi jab dard aa ke palkon pe moti piroota hai
to ye ehsaas hota hai
khushi ho gham ho hairat ho
koi jazba ho
is mein jab kahi ik mod aaye to
wahan pal bhar ko
saari duniya peeche chhoot jaati hai
wahan pal bhar ko
is kath-putli jaisi zindagi ki
dori toot jaati hai
mujhe us mod par
bas ik tumhaari hi zaroorat hai
magar ye zindagi ki khoobsurat ik haqeeqat hai
ki meri raah mein jab aisa koi mod aaya hai
to har us mod par main ne
tumhein ham-raah paaya hai 
-----------------------------------
ये आए दिन के हंगामे
ये जब देखो सफ़र करना
यहाँ जाना वहाँ जाना
इसे मिलना उसे मिलना
हमारे सारे लम्हे
ऐसे लगते हैं
कि जैसे ट्रेन के चलने से पहले
रेलवे-स्टेशन पर
जल्दी जल्दी अपने डब्बे ढूँडते
कोई मुसाफ़िर हों
जिन्हें कब साँस भी लेने की मोहलत है
कभी लगता है
तुम को मुझ से मुझ को तुम से मिलने का
ख़याल आए
कहाँ इतनी भी फ़ुर्सत है
मगर जब संग-दिल दुनिया मेरा दिल तोड़ती है तो
कोई उम्मीद चलते चलते
जब मुँह मोड़ती है तो
कभी कोई ख़ुशी का फूल
जब इस दिल में खिलता है
कभी जब मुझ को अपने ज़ेहन से
कोई ख़याल इनआम मिलता है
कभी जब इक तमन्ना पूरी होने से
ये दिल ख़ाली सा होता है
कभी जब दर्द आ के पलकों पे मोती पिरोता है
तो ये एहसास होता है
ख़ुशी हो ग़म हो हैरत हो
कोई जज़्बा हो
इस में जब कहीं इक मोड़ आए तो
वहाँ पल भर को
सारी दुनिया पीछे छूट जाती है
वहाँ पल भर को
इस कठ-पुतली जैसी ज़िंदगी की
डोरी टूट जाती है
मुझे उस मोड़ पर
बस इक तुम्हारी ही ज़रूरत है
मगर ये ज़िंदगी की ख़ूबसूरत इक हक़ीक़त है
कि मेरी राह में जब ऐसा कोई मोड़ आया है
तो हर उस मोड़ पर मैं ने
तुम्हें हम-राह पाया है

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 159