Ali Zaryoun Poetry

zane haseen thi aur phool chun kar laati thi


zane haseen thi aur phool chun kar laati thi

zane haseen thi aur phool chun kar laati thi
main sher kehta tha vo dastaan sunaati thi

arab lahu tha ragon mein badan sunhara tha
vo muskuraati nahin thi die jalaati thi

ali se door raho log usse kahte the
vo mera sach hai bahut cheekh kar bataati thi

ali ye log tumhein jaante nahin hain abhi
gale lagaakar mera hausla badhaati thi

ye phool dekh rahe ho ye uska lahja tha
ye jheel dekh rahe ho yahan vo aati thi

main uske baad kabhi theek se nahin jaaga
vo mujhko khwaab nahin neend se jagati thi

use kisi se mohabbat thi aur vo main nahin tha
ye baat mujhse ziyaada use roolaati thi

main kuchh bata nahin saka vo meri kya thi ali
ki usko dekhkar bas apni yaad aati thi 
------------------------------------------
ज़ने हसीन थी और फूल चुन कर लाती थी
मैं शेर कहता था, वो दास्ताँ सुनाती थी

अरब लहू था रगों में, बदन सुनहरा था
वो मुस्कुराती नहीं थी, दीए जलाती थी

"अली से दूर रहो", लोग उससे कहते थे
"वो मेरा सच है", बहुत चीख कर बताती थी

"अली ये लोग तुम्हें जानते नहीं हैं अभी"
गले लगाकर मेरा हौसला बढ़ाती थी

ये फूल देख रहे हो, ये उसका लहजा था
ये झील देख रहे हो, यहाँ वो आती थी

मैं उसके बाद कभी ठीक से नहीं जागा
वो मुझको ख्वाब नहीं नींद से जगाती थी

उसे किसी से मोहब्बत थी और वो मैं नहीं था
ये बात मुझसे ज़्यादा उसे रूलाती थी

मैं कुछ बता नहीं सकता वो मेरी क्या थी "अली"
कि उसको देखकर बस अपनी याद आती थी

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 8