Jaun Elia Poetry

ye kitaabon ki saf-b-saf jilden


ye kitaabon ki saf-b-saf jilden

fan paara
ye kitaabon ki saf-b-saf jilden
kaaghazon ka fuzool isti'maal

roshnai ka shaandaar israaf
seedhe seedhe se kuchh siyah dhabbe

jin ki taujiheh aaj tak na hui
chand khush-zauq kam-naseebon ne

basar auqaat ke liye shaayad
ye lakeeren bikher daali hain

kitni hi be-qusoor naslon ne
in ko padhne ke jurm mein ta-umr

le ke kashkool-e-ilm-o-hikmat-o-fan
koo-b-koo jaan ki bheek maangi hai

aah ye waqt ka azaab-e-aleem
waqt khallaq be-shuur qadeem

saari taarifein un andheron ki
jin mein partav na koi parchhaaien

aah ye zindagi ki tanhaai
sochna aur sochte rahna

chand maasoom paagalon ki saza
aaj main ne bhi soch rakha hai

waqt se intiqaam lene ko
yoonhi ta-shaam saade kaaghaz par

tedhe tedhe khutoot kheeche jaayen 
------------------------------------
"फ़न पारा"
ये किताबों की सफ़-ब-सफ़ जिल्दें
काग़ज़ों का फ़ुज़ूल इस्ती'माल

रौशनाई का शानदार इसराफ़
सीधे सीधे से कुछ सियह धब्बे

जिन की तौजीह आज तक न हुई
चंद ख़ुश-ज़ौक़ कम-नसीबों ने

बसर औक़ात के लिए शायद
ये लकीरें बिखेर डाली हैं

कितनी ही बे-क़ुसूर नस्लों ने
इन को पढ़ने के जुर्म में ता-उम्र

ले के कश्कूल-ए-इल्म-ओ-हिक्मत-ओ-फ़न
कू-ब-कू जाँ की भीक माँगी है

आह ये वक़्त का अज़ाब-ए-अलीम
वक़्त ख़ल्लाक़ बे-शुऊर क़दीम

सारी तारीफ़ें उन अँधेरों की
जिन में परतव न कोई परछाईं

आह ये ज़िंदगी की तन्हाई
सोचना और सोचते रहना

चंद मासूम पागलों की सज़ा
आज मैं ने भी सोच रक्खा है

वक़्त से इंतिक़ाम लेने को
यूँही ता-शाम सादे काग़ज़ पर

टेढ़े टेढ़े ख़ुतूत खींचे जाएँ

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 210