Shahid Jaki Poetry

yaar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe


yaar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe

यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मिरे यार समझते हैं मुझे 

जड़ उखड़ने से झुकाओ है मिरी शाख़ों में
दूर से लोग समर-बार समझते हैं मुझे 

क्या ख़बर कल यही ताबूत मिरा बन जाए
आप जिस तख़्त का हक़दार समझते हैं मुझे 

नेक लोगों में मुझे नेक गिना जाता है
और गुनहगार गुनहगार समझते हैं मुझे 

मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे 

मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे 

वो जो उस पार हैं इस पार मुझे जानते हैं
ये जो इस पार हैं उस पार समझते हैं मुझे

मैं तो यूँ चुप हूँ कि अंदर से बहुत ख़ाली हूँ
और ये लोग पुर-असरार समझते हैं मुझे 

रौशनी बाँटता हूँ सरहदों के पार भी मैं
हम-वतन इस लिए ग़द्दार समझते हैं मुझे 

जुर्म ये है कि इन अंधों में हूँ आँखों वाला
और सज़ा ये है कि सरदार समझते हैं मुझे 

लाश की तरह सर-ए-आब हूँ मैं और 'शाहिद'
डूबने वाले मदद-गार समझते हैं मुझे 

-----------------------------------------------------

yaar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe
main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe

jad ukhadne se jhukaw hai meri shaKHon mein
dur se log samar-bar samajhte hain mujhe

kya Khabar kal yahi tabut mera ban jae
aap jis takht ka haqdar samajhte hain mujhe

nek logon mein mujhe nek gina jata hai
aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe

main to khud bikne ko bazar mein aaya hua hun
aur dukan-dar kharidar samajhte hain mujhe

main badalte hue haalat mein dhal jata hun
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe

wo jo us par hain is par mujhe jaante hain
ye jo is par hain us par samajhte hain mujhe

main to yun chup hun ki andar se bahut khali hun
aur ye log pur-asrar samajhte hain mujhe

raushni bantata hun sarhadon ke par bhi main
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe

jurm ye hai ki in andhon mein hun aankhon wala
aur saza ye hai ki sardar samajhte hain mujhe

lash ki tarah sar-e-ab hun main aur 'shahid'
Dubne wale madad-gar samajhte hain mujhe

Poet - Shahid Jaki
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 177