Tehzeeb Hafi Poetry

tere saath guzre dinon ki koi aik dhundli si tasveer-Bebasi


tere saath guzre dinon ki koi aik dhundli si tasveer-Bebasi

तेरे साथ गुज़रे दिनों की
कोई एक धुँदली सी तस्वीर
जब भी कभी सामने आएगी
तो हमें एक दुआ थामने आएगी,
बुढ़ापे की गहराइयों में उतरते हुए
तेरी बे-लौस बाँहों के घेरे नहीं भूल पाएँगे हम
हमको तेरे तवस्सुत से हँसते हुए जो मिले थे
वो चेहरे नहीं भूल पाएँगे हम
तेरे पहलू में लेटे हुओं का अजब क़र्ब है
जो रात भर अपनी वीरान आँखों से तुझे तकते थे
और तेरे शादाब शानों पे सिर रख के
मरने की ख़्वाहिश में जीते रहे

पर तेरे लम्स का कोई इशारा मयस्सर नहीं था
मगर इस जहाँ का कोई एक हिस्सा
उन्हें तेरे बिस्तर से बेहतर नहीं था
पर मोहब्बत को इस सब से कोई इलाका नहीं था
एक दुख तो हम बहरहाल हम अपने सीनों में ले के मरेंगे
कि हमने मोहब्बत के दावे किए
तेरे माथे पर सिंदूर टाँका नहीं

इससे क्या फ़र्क पड़ता है दूर हैं तुझसे या पास हैं
हमको कोई आदमी तो नहीं, हम तो एहसास हैं
जो रहे तो हमेशा रहेंगे
और गए तो मुड़ कर वापिस नहीं आएँगे

------------------------------

Tere saath guzre dinon ki koi aik dhundli si tasveer
Jab bhi kabhi samne aaye.gi
Tou hamein aik duaa thamne aaye.gi
Burhape ki gehraiyon mein utarte howay
Teri be laos bahon ki ghere nahi bhol payenge hum
Hum ko tere tawassul se hanste hoye jo mile thay
Woh chehre nahi bhol payengey hum
Tere pehlo mein laite howon ka ajab karb hai
Jo tujhe raat bhar apni weran aankhon se takte thay
Aur tere shadaab shanon par sar rakh ke 
Marne ki khwahish mein jeete rahe

Har tere lams ka un ko koi ishara muyassar nahi tha
Magar iss jahan ka koi ik hissa unhen tere bistar se behtar nahi tha
Par mohabbat ko iss sab se koi alaqa nahi
Aik dukh to bahar hal hum apne seenon mein le kar marengey
Keh hum ne mohabbat ke daway kiye magar
Tere mathe mein sindoor tanka nahi

Iss se kya farq parta hai
Hum door hain tujhe se ya paas hain
Hum koi aadmi tou nahi
Hum tou ehsas hain
Jo rahe tou hamesha rahengey
Aur gaye tou kabhi morr ke wapas nahi aayengey  

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 132