Faiz Ahmed Faiz Poetry

tere honton ke phoolon ki chaahat mein ham


tere honton ke phoolon ki chaahat mein ham

tere honton ke phoolon ki chaahat mein ham
daar ki khushk tahni pe vaare gaye
tere haathon ki shamon ki hasrat mein ham
neem-taareek raahon mein maare gaye

sooliyon par hamaare labon se pare
tere honton ki laali lapakti rahi
teri zulfon ki masti barasti rahi
tere haathon ki chaandi damkati rahi

jab ghuli teri raahon mein shaam-e-sitam
ham chale aaye laaye jahaan tak qadam
lab pe harf-e-ghazal dil mein qindeel-e-gham
apna gham tha gawaahi tire husn ki
dekh qaaim rahe is gawaahi pe ham
ham jo tareek raahon pe maare gaye

na-rasaai agar apni taqdeer thi
teri ulfat to apni hi tadbeer thi
kis ko shikwa hai gar shauq ke silsile
hijr ki qatl-gaahon se sab ja mile

qatl-gaahon se chun kar hamaare alam
aur niklengay ushshaq ke qafile
jin ki raah-e-talab se hamaare qadam
mukhtasar kar chale dard ke faasle
kar chale jin ki khaatir jahaangeer ham
jaan ganwa kar tiri dilbari ka bharam
ham jo tareek raahon mein maare gaye 
------------------------------------
तेरे होंटों के फूलों की चाहत में हम
दार की ख़ुश्क टहनी पे वारे गए
तेरे हातों की शम्ओं की हसरत में हम
नीम-तारीक राहों में मारे गए

सूलियों पर हमारे लबों से परे
तेरे होंटों की लाली लपकती रही
तेरी ज़ुल्फ़ों की मस्ती बरसती रही
तेरे हाथों की चाँदी दमकती रही

जब घुली तेरी राहों में शाम-ए-सितम
हम चले आए लाए जहाँ तक क़दम
लब पे हर्फ़-ए-ग़ज़ल दिल में क़िंदील-ए-ग़म
अपना ग़म था गवाही तिरे हुस्न की
देख क़ाएम रहे इस गवाही पे हम
हम जो तारीक राहों पे मारे गए

ना-रसाई अगर अपनी तक़दीर थी
तेरी उल्फ़त तो अपनी ही तदबीर थी
किस को शिकवा है गर शौक़ के सिलसिले
हिज्र की क़त्ल-गाहों से सब जा मिले

क़त्ल-गाहों से चुन कर हमारे अलम
और निकलेंगे उश्शाक़ के क़ाफ़िले
जिन की राह-ए-तलब से हमारे क़दम
मुख़्तसर कर चले दर्द के फ़ासले
कर चले जिन की ख़ातिर जहाँगीर हम
जाँ गँवा कर तिरी दिलबरी का भरम
हम जो तारीक राहों में मारे गए

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 43